aisa lagta hai ki kar dega ab azaad mujhe mirii marzi se udaane laga sayyaad mujhe main hooñ sarhad pe bane ek makaan ki soorat kab talak dekhiye rakhta hai vo aabaad mujhe ek qisse ki tarah vo to mujhe bhool gaya ik kahaanii ki tarah vo hai magar yaad mujhe kam se kam ye to bataa de ki kidhar jaayegi kar ke ai khana-kharaabi mirii barbaad mujhe main samajh jaata hooñ is men koi kamzori hai mere jis she'r pe milti hai bahut daad mujhe
Related Ghazal
tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban
Varun Anand
81 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
More from Munawwar Rana
mukhtasar hote hue bhi zindagi badh jaayegi maa ki aañkhen choom lijye raushni badh jaayegi maut ka aanaa to tay hai maut aayegi magar aap ke aane se thodii zindagi badh jaayegi itni chaahat se na dekha keejie mehfil men aap shahar waalon se hamaari dushmani badh jaayegi aap ke hansne se khatra aur bhi badh jaayega is tarah to aur aankhoñ ki nami badh jaayegi be-vafaaii khel ka hissa hai jaane de ise tazkira us se na kar sharmindagi badh jaayegi
Munawwar Rana
9 likes
chaanv mil jaa.e to kam daam men bik jaati hai ab thakan thode se aaraam men bik jaati hai aap kya mujh ko nawaazeṅge janaab-e-aali saltanat tak mire ina'am men bik jaati hai she'r jaisa bhi ho is shahar men padh sakte ho chaai jaisi bhi ho aasaam men bik jaati hai vo siyaasat ka ilaqa hai udhar mat jaana aabroo koocha-e-bad-naam men bik jaati hai
Munawwar Rana
5 likes
bhula paana bahut mushkil hai sab kuchh yaad rehta hai mohabbat karne vaala is li.e barbaad rehta hai agar sone ke pinjade men bhi rehta hai to qaai dii hai parinda to vahii hota hai jo azaad rehta hai chaman men ghoomne firne ke kuchh aadaab hote hain udhar hargiz nahin jaana udhar sayyaad rehta hai lipt jaati hai saare raaston ki yaad bachpan men jidhar se bhi guzarta hoonmain rastaa yaad rehta hai ha men bhi apne achchhe din abhii tak yaad hain raana har ik insaan ko apna zamaana yaad rehta hai
Munawwar Rana
4 likes
ghar men rahte hue ghairoon ki tarah hoti hain ladkiyaan dhaan ke paudon ki tarah hoti hain ud ke ik roz bahut door chali jaati hain ghar ki shaakhon pe ye chidiyon ki tarah hoti hain sahmi sahmi hui rahtii hain makaan-e-dil men aarzooen bhi ghareebon ki tarah hoti hain toot kar ye bhi bikhar jaati hain ik lamhe men kuchh umeedein bhi ghondon ki tarah hoti hain aap ko dekh ke jis vaqt palatti hai nazar mirii aañkhen mirii aankhoñ ki tarah hoti hain
Munawwar Rana
6 likes
vo bichhad kar bhi kahaan mujh se juda hota hai ret par os se ik naam likha hota hai KHaak aankhoñ se lagaaee to ye ehsaas hua apni miTTi se har ik shaKHs juda hota hai saari duniya ka safar KHvaab men kar daala hai koi manzar ho mira dekha hua hota hai main bhulaana bhi nahin chahta is ko lekin mustaqil zakham ka rahna bhi bura hota hai khauf men doobe hue shahar ki qismat hai yahii muntazir rehta hai har shaKHs ki kya hota hai
Munawwar Rana
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Munawwar Rana.
Similar Moods
More moods that pair well with Munawwar Rana's ghazal.







