bhula paana bahut mushkil hai sab kuchh yaad rehta hai mohabbat karne vaala is li.e barbaad rehta hai agar sone ke pinjade men bhi rehta hai to qaai dii hai parinda to vahii hota hai jo azaad rehta hai chaman men ghoomne firne ke kuchh aadaab hote hain udhar hargiz nahin jaana udhar sayyaad rehta hai lipt jaati hai saare raaston ki yaad bachpan men jidhar se bhi guzarta hoonmain rastaa yaad rehta hai ha men bhi apne achchhe din abhii tak yaad hain raana har ik insaan ko apna zamaana yaad rehta hai
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
More from Munawwar Rana
chaanv mil jaa.e to kam daam men bik jaati hai ab thakan thode se aaraam men bik jaati hai aap kya mujh ko nawaazeṅge janaab-e-aali saltanat tak mire ina'am men bik jaati hai she'r jaisa bhi ho is shahar men padh sakte ho chaai jaisi bhi ho aasaam men bik jaati hai vo siyaasat ka ilaqa hai udhar mat jaana aabroo koocha-e-bad-naam men bik jaati hai
Munawwar Rana
5 likes
mujh ko gehraai men miTTi ki utar jaana hai zindagi baandh le saamaan-e-safar jaana hai ghar ki dahleez pe raushan hain vo bujhti aañkhen mujh ko mat rok mujhe laut ke ghar jaana hai main vo mele men bhatkata hua ik bachcha hooñ jis ke maa baap ko rote hue mar jaana hai zindagi taash ke patton ki tarah hai meri aur patton ko bahr-haal bikhar jaana hai ek be-naam se rishte ki tamannaa le kar is kabootar ko kisi chat pe utar jaana hai
Munawwar Rana
5 likes
aisa lagta hai ki kar dega ab azaad mujhe mirii marzi se udaane laga sayyaad mujhe main hooñ sarhad pe bane ek makaan ki soorat kab talak dekhiye rakhta hai vo aabaad mujhe ek qisse ki tarah vo to mujhe bhool gaya ik kahaanii ki tarah vo hai magar yaad mujhe kam se kam ye to bataa de ki kidhar jaayegi kar ke ai khana-kharaabi mirii barbaad mujhe main samajh jaata hooñ is men koi kamzori hai mere jis she'r pe milti hai bahut daad mujhe
Munawwar Rana
1 likes
kisi gareeb ki barson ki aarzoo ho jaaun main is surang se nikloon tu aab-joo ho jaaun badaa haseen taqaddus hai us ke chehre par main us ki aankhoñ men jhaankoon to ba-wazoo ho jaaun mujhe pata to chale mujh men aib hain kya kya vo aaina hai to main us ke roo-b-roo ho jaaun kisi tarah bhi ye veeraaniyaan hon khatm mirii sharaab-khaane ke andar ki haav-hoo jaaun mirii hatheli pe honton se aisi mohr laga ki umr-bhar ke li.e main bhi surkh-roo ho jaaun kamii zaraa si bhi mujh men na koi rah jaa.e agar main zakham ki soorat hooñ to rafu ho jaaun naye mizaaj ke shehron men jee nahin lagta purane waqton ka phir se main lucknow ho jaaun
Munawwar Rana
2 likes
KHafaa hona zaraa si baat par talwaar ho jaana magar phir KHud-ba-KHud vo aap ka gulnaar ho jaana kisi din mirii ruswaai ka ye kaaran na ban jaa.e tumhaara shahar se jaana mira beemaar ho jaana vo apna jism saara saunp dena mirii aankhoñ ko mirii padhne ki koshish aap ka akhbaar ho jaana kabhi jab aandhiyaan chalti hain ham ko yaad aata hai hawa ka tez chalna aap ka deewaar ho jaana bahut dushwaar hai mere li.e us ka tasavvur bhi bahut aasaan hai us ke li.e dushwaar ho jaana kisi ki yaad aati hai to ye bhi yaad aata hai kahii chalne ki zid karna mira taiyyaar ho jaana kahaanii ka ye hissa ab bhi koi KHvaab lagta hai tira sar par bitha lena mira dastaar ho jaana mohabbat ik na ik din ye hunar tum ko sikha degi baghaavat par utarna aur khud-mukhtaar ho jaana nazar neechi ki.e us ka guzarna paas se mere zaraa si der rukna phir saba-raftaar ho jaana
Munawwar Rana
7 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Munawwar Rana.
Similar Moods
More moods that pair well with Munawwar Rana's ghazal.







