kabhi jo aankh pe gesoo-e-yaar hota hai sharaab-khaane pe abr-e-bahaar hota hai kisi ka gham ho mire dil pe baar hota hai usii ka naam gham-e-rozgaar hota hai ilaahi KHair ho un be-zabaan asiroon ki qafas ke saamne zikr-e-bahaar hota hai chaman men aise bhi do chaar hain chaman waale ki jin ko mausam-e-gul naagawaar hota hai sawaal-e-jaam tire may-kade men ai saaqi jawaab-e-gardish-e-lail-o-nahaar hota hai ha men vafaa pe vafaa aaj tak na raas aayi unhen sitam pe sitam saazgaar hota hai labon pe aa gaya dam band ho chuki aañkhen chale bhi aao ki khatm intizaar hota hai kahaan vo vasl ki raatein kahaan ye hijr ke din khayaal-e-gardish-e-lail-o-nahaar hota hai junoon to ek badi cheez hai mohabbat men zaraa se ashk se raaz aashkaar hota hai mire janaaze ko dekha to yaas se bole yahaañ pe aadmi be-ikhtiyaar hota hai KHuda rakhe tumhein kya koi jaur bhool ga.e jo ab talash hamaara mazaar hota hai hamaara zor hai kya baagbaan utha lenge ye aashiyaan jo tujhe naagawaar hota hai ajeeb kashmakash-e-bahr-e-gham men dil hai qamarna doobta hai ye beda na paar hota hai
Related Ghazal
chhod kar jaane ka dastoor nahin hota tha koi bhi zakham ho naasoor nahin hota tha mere bhi hont pe cigarette nahin hoti thii uski bhi maang men sindoor nahin hota tha auratein pyaar men tab shauq nahin rakhti thii aadmi ishq men mazdoor nahin hota tha
Kushal Dauneria
54 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
More from Qamar Jalalvi
surkhiyaan kyun Dhoondh kar laaun fasaane ke li.e bas tumhaara naam kaafi hai zamaane ke li.e maujen saahil se hataati hain habaabon ka hujoom vo chale aa.e hain saahil par nahaane ke li.e sochta hooñ ab kahii bijli giri to kyun giri tinke laaya tha kahaan se aashiyaane ke li.e chhod kar bastii ye deewane kahaan se aa ga.e dasht ki baithi-bithaai KHaak udaane ke li.e hañs ke kahte ho zamaana bhar mujhi par jaan de rah ga.e ho kya tumheen saare zamaane ke li.e shaam ko aaoge tum achha abhii hoti hai shaam gesuon ko khol do suraj chhupaane ke li.e kaayenaat-e-ishq ik dil ke siva kuchh bhi nahin vo hi aane ke li.e hai vo hi jaane ke li.e ai zamaane bhar ko khushiyaan dene waale ye bataa kya qamar hi rah gaya hai gham uthaane ke li.e
Qamar Jalalvi
0 likes
kisi soorat sehar nahin hoti raat idhar se udhar nahin hoti khauf sayyaad se na barq ka dar baat ye apne ghar nahin hoti ek vo hain ki roz aate hain ek ham hain khabar nahin hoti ab main samjha hooñ kaat kar shab-e-gham zindagi mukhtasar nahin hoti kitnii paaband-e-waz'a hai shab-e-gham kabhi ghairoon ke ghar nahin hoti kitnii seedhi hai raah-e-mulk-e-adam haajat-e-raahbar nahin hoti sun liya hogaa tum ne haal-e-mareez ab davaa kaargar nahin hoti arsh milta hai meri aahon se lekin un ko khabar nahin hoti
Qamar Jalalvi
0 likes
baarish men ahd tod ke gar may-kashi hui tauba mari phiregi kahaan bheegti hui pesh aa.e laakh ranj agar ik khushi hui parwardigaar ye bhi koi zindagi hui achha to dono vaqt mile kosie huzoor phir bhi mareez-e-gham ki agar zindagi hui ai andaleeb apne nasheeman ki KHair maang bijli gaii hai soo-e-chaman dekhti hui dekho charaagh-e-qabr use kya javaab de aayegi shaam-e-hijr mujhe poochhti hui qaasid unhin ko ja ke diya tha hamaara khat vo mil ga.e the un se koi baat bhi hui jab tak ki teri bazm men chaltaa rahega jaam saaqi rahegi gardish-e-dauraan ruki hui maana ki un se raat ka vaa'da hai ai qamar kaise vo aa sakenge agar chaandni hui
Qamar Jalalvi
0 likes
kab meraa nasheeman ahl-e-chaman gulshan men gawara karte hain gunche apni aawazon men bijli ko pukaara karte hain ab naz'a ka aalam hai mujh par tum apni mohabbat waapas lo jab kashtii doobne lagti hai to bojh utaara karte hain jaati hui mayyat dekh ke bhi wallaah tum uth ke aa na sake do chaar qadam to dushman bhi takleef gawara karte hain be-wajah na jaane kyun zid hai un ko shab-e-furqat waalon se vo raat badha dene ke li.e gesu ko sanwaara karte hain poncho na arq rukhsaaron se rangeeni-e-husn ko badhne do sunte hain ki shabnam ke qatre phoolon ko nikhaara karte hain kuchh husn o ishq men farq nahin hai bhi to faqat ruswaai ka tum ho ki gawara kar na sake ham hain ki gawara karte hain taaron ki bahaaron men bhi qamar tum afsurda se rahte ho phoolon ko to dekho kaanton men hañs hañs ke guzaara karte hain
Qamar Jalalvi
1 likes
kisi ka naam lo be-naam afsaane bahut se hainna jaane kis ko tum kahte ho deewane bahut se hain jafaon ke gale tum se KHuda jaane bahut se hain magar mahshar ka din hai apne begaane bahut se hain banaaye de rahi hain ajnabi naadaariyaan mujh ko tiri mehfil men warna jaane-pahchaane bahut se hain dhari rah jaayegi paabandi-e-zindaan jo ab chheda ye darbaanon ko samjha do ki deewane bahut se hain bas ab so jaao neend aankhoñ men hai kal phir sunaayenge zaraa si rah gaii hai raat afsaane bahut se hain tumhein kis ne bulaayaa may-kashon se ye na kah saaqi tabi'at mil gaii hai warna maykhaane bahut se hain badi qurbaaniyon ke baa'd rahna baagh men hogaa abhii to aashiyaan bijli se jalwaane bahut se hain likhi hai KHaak udaani hi agar apne muqaddar men tire kooche pe kya mauqoof veeraane bahut se hain na ro ai shama' maujooda patangon ki museebat par abhii mehfil se baahar tere parwaane bahut se hain mire kehne se hogii tark-e-rasm-o-raah ghairoon se baja hai aap ne kehne mire maane bahut se hain qamar allah saath eimaan ke manzil pe pahuncha de haram ki raah men sunte hain but-khaane bahut se hain
Qamar Jalalvi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Qamar Jalalvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Qamar Jalalvi's ghazal.







