ghazalKuch Alfaaz

kahun to kya main kahun pyari pyari ankhon ko subu kahun ki surahi tumhari ankhon ko kuchh aisa chhaya hai dil par mire ghhubar-e-alam gulon ke saae bhi lagte hain bhari ankhon ko jhalak rahe hain vo palkon pe ansuon ki tarah vo ghham jo tum ne diye hain hamari ankhon ko jhuken jo palken to ruk jaaen dhadkanen dil ki uthen to chuum len taare tumhari ankhon ko lahu gulon ka baha hai ba-surat-e-ansu khizan ne luuta hai jab bhi hamari ankhon ko duaen karte hain nargis ke phuul gulshan men nazar lage na kisi ki tumhari ankhon ko sulagti raat ke siine pe barf si rakh di ghhazal men dhaal ke goya tumhari ankhon ko mahakte phuul sanakti hava ye mausam-e-gul chaman men dekhte hain sab tumhari ankhon ko kahun to kya main kahun pyari pyari aankhon ko subu kahun ki surahi tumhaari aankhon ko kuchh aisa chhaya hai dil par mere ghubar-e-alam gulon ke sae bhi lagte hain bhaari aankhon ko jhalak rahe hain wo palkon pe aansuon ki tarah wo gham jo tum ne diye hain hamari aankhon ko jhuken jo palken to ruk jaen dhadkanen dil ki uthen to chum len tare tumhaari aankhon ko lahu gulon ka baha hai ba-surat-e-ansu khizan ne luta hai jab bhi hamari aankhon ko duaen karte hain nargis ke phul gulshan mein nazar lage na kisi ki tumhaari aankhon ko sulagti raat ke sine pe barf si rakh di ghazal mein dhaal ke goya tumhaari aankhon ko mahakte phul sanakti hawa ye mausam-e-gul chaman mein dekhte hain sab tumhaari aankhon ko

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Saghar Khayyami.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Saghar Khayyami's ghazal.