ghazalKuch Alfaaz

kar loonga jama daulat-o-zar us ke baad kya le loonga shaandaar sa ghar us ke baad kya may ki talab jo hogii to ban jaaunga main rind kar loonga maykado ka safar us ke baad kya hogaa jo shauq husn se raaz-o-niyaaz ka kar loonga gesuon men sehar us ke baad kya she'r-o-sukhan ki khoob sajaaoonga mahfilein duniya men hogaa naam magar us ke baad kya mauj aayegi to saare jahaan ki karunga sair waapas wahin puraana nagar us ke baad kya ik roz maut zeest ka dar khatkhataayegi bujh jaayega charagh-e-qamar us ke baad kya u thii thii KHaak KHaak se mil jaayegi wahin phir us ke baad kis ko khabar us ke baad kya

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

More from Qamar Jalalabadi

chhoti si be-rukhi pe shikaayat ki baat hai aur vo bhi is liye ki mohabbat ki baat hai main ne kaha ki aa.e ho kitne dinon ke baa'd kehne lage huzoor ye furqat ki baat hai main ne kaha ki mil ke bhi ham kyun na mil sake kehne lage huzoor ye qismat ki baat hai main ne kaha ki rahte ho har baat par KHafaa kehne lage huzoor ye qurbat ki baat hai main ne kaha ki dete hain dil tum bhi laao dil kehne lage ki ye to tijaarat ki baat hai main ne kaha kabhi hai sitam aur kabhi karam kehne lage ki ye to tabi'at ki baat hai

Qamar Jalalabadi

0 likes

ik haseen la-jawaab dekha hai raat ko aftaab dekha hai gora mukhda ye surkh gaal tire chaandni men gulaab dekha hai nargisi aankh zulf shab-rangi baadlon ka javaab dekha hai jhoomte jaam sa chhalakta badan ek jaam-e-sharaab dekha hai ham to mil kar na mil sake tum ko tum ko dekha ki KHvaab dekha hai

Qamar Jalalabadi

0 likes

yaarab tire karam se ye sauda karenge ham duniya men pee ke khuld men tauba karenge ham yuñ rasm-e-ishq-o-husn ko rusva karenge ham tum muntazir rahoge na aaya karenge ham aaiine men KHud apna tamasha karenge ham yuñ bhi shab-e-firaq guzaara karenge ham jab tak na nazar aaoge aisa karenge ham har roz ik KHuda ko tarasha karenge ham tujh ko bitha ke door se dekha karenge ham yuñ bhi tire ghuroor se khela karenge ham ja tujh se be-niyaaz hue bhule teraa zikr tu chahega to teri tamannaa karenge ham

Qamar Jalalabadi

0 likes

vo sitam-gar hai khayaalaat samajhne vaala mujh se pahle mire jazbaat samajhne vaala main ne rakha hai hamesha hi tabassum lab par ro diya kyun mire haalaat samajhne vaala jo na samjhe teri manzil vo yoonhi chaltaa raha ruk gaya tere maqaamaat samajhne vaala jo na samjhe vo banaate rahe laakhon baatein hua KHaamosh tiri baat samajhne vaala raaz-e-taqdeer pe kya raushni daalega koi KHud sawaali hai savaalaat samajhne vaala

Qamar Jalalabadi

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Qamar Jalalabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Qamar Jalalabadi's ghazal.