ghazalKuch Alfaaz

kath-putli hai ya jivan hai jiite jaao socho mat soch se hi saari uljhan hai jiite jaao socho mat likha hua kirdar kahani men hi chalta phirta hai kabhi hai duuri kabhi milan hai jiite jaao socho mat naach sako to nacho jab thak jaao to aram karo tedha kyuun ghar ka angan hai jiite jaao socho mat har mazhab ka ek hi kahna jaisa malik rakkhe rahna jab tak sanson ka bandhan hai jiite jaao socho mat ghuum rahe hain bazaron men sarmayon ke atish-dan kis bhatti men kaun indhan hai jiite jaao socho mat kath-putli hai ya jiwan hai jite jao socho mat soch se hi sari uljhan hai jite jao socho mat likha hua kirdar kahani mein hi chalta phirta hai kabhi hai duri kabhi milan hai jite jao socho mat nach sako to nacho jab thak jao to aaram karo tedha kyun ghar ka aangan hai jite jao socho mat har mazhab ka ek hi kahna jaisa malik rakkhe rahna jab tak sanson ka bandhan hai jite jao socho mat ghum rahe hain bazaron mein sarmayon ke aatish-dan kis bhatti mein kaun indhan hai jite jao socho mat

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

More from Nida Fazli

din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi

Nida Fazli

0 likes

chahten mausami parinde hain rut badalte hi laut jaate hain ghonsle ban ke toot jaate hain daagh shaakhon pe chahchahaate hain aane waale bayaaz men apni jaane waalon ke naam likhte hain sab hi auron ke khaali kamron ko apni apni tarah sajaate hain maut ik waahima hai nazaron ka saath chhutta kahaan hai apnon ka jo zameen par nazar nahin aate chaand taaron men jagmagate hain ye musavvir ajeeb hote hain aap apne habeeb hote hain doosron ki shabahtein le kar apni tasveer hi banaate hain yuñ hi chaltaa hai kaarobaar-e-jahaan hai zaroori har ek cheez yahaañ jin darakhton men phal nahin aate vo jalane ke kaam aate hain

Nida Fazli

0 likes

har ek ghar men diya bhi jale anaaj bhi ho agar na ho kahii aisa to ehtijaaj bhi ho rahegi va'don men kab tak aseer khush-haali har ek baar hi kal kyun kabhi to aaj bhi ho na karte shor-sharaaba to aur kya karte tumhaare shahar men kuchh aur kaam-kaaj bhi ho hukoomaton ko badalna to kuchh muhaal nahin hukoomatein jo badalta hai vo samaaj bhi ho badal rahe hain kaii aadmi darindon men marz puraana hai is ka naya ilaaj bhi ho akelaa gham se nayi shaayri nahin hoti zabaan-e-'meer men ghalib ka imtizaaj bhi ho

Nida Fazli

0 likes

insaan men haiwaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi allah nigahbaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi khoon-khwaar darindon ke faqat naam alag hain har shahar bayaabaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi hindu bhi sukoon se hai musalmaan bhi sukoon se insaan pareshaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi rehmaan ki rahmat ho ki bhagwaan ki moorat har khel ka maidaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi uthata hai dil-o-jaan se dhuaan dono taraf hi ye meer ka deevaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi

Nida Fazli

1 likes

jise dekhte hi khumaari lage use umr saari hamaari lage ujaala sa hai us ke chaaron taraf vo naazuk badan paanv bhari lage vo sasuraal se aayi hai maike use jitna dekho vo pyaari lage haseen sooraten aur bhi hain magar vo sab saikron men hazaari lage chalo is tarah se sajaayein use ye duniya hamaari tumhaari lage use dekhna sher-goi ka fan use sochna deen-daari lage

Nida Fazli

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nida Fazli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.