ghazalKuch Alfaaz

kathin tanhaiyon se kaun khela main akela bhara ab bhi mire gaanv ka mela main akela bichhad kar tujh se main shab bhar na soya kaun roya ba-juz mere ye dukh bhi kis ne jhela main akela ye be-avaz banjar ban ke baasi ye udasi ye dahshat ka safar jangal ye bela main akela main dekhun kab talak manzar suhane sab purane vahi duniya vahi dil ka jhamela main akela vo jis ke khauf se sahra sidhare log saare guzarne ko hai tufan ka vo rela main akela kathin tanhaiyon se kaun khela main akela bhara ab bhi mere ganw ka mela main akela bichhad kar tujh se main shab bhar na soya kaun roya ba-juz mere ye dukh bhi kis ne jhela main akela ye be-awaz banjar ban ke basi ye udasi ye dahshat ka safar jangal ye bela main akela main dekhun kab talak manzar suhane sab purane wahi duniya wahi dil ka jhamela main akela wo jis ke khauf se sahra sidhaare log sare guzarne ko hai tufan ka wo rela main akela

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

More from Mohsin Naqvi

jab se us ne shahar ko chhodaa har rastaa sunsaan hua apna kya hai saare shahar ka ik jaisa nuksaan hua ye dil ye aaseb ki nagri maskan sochun vahmon ka soch raha hooñ is nagri men tu kab se mehmaan hua sehra ki munh-zor hawaaein auron se mansoob hui muft men ham aawaara thehre muft men ghar veeraan hua mere haal pe hairat kaisi dard ke tanhaa mausam men patthar bhi ro padte hain insaan to phir insaan hua itni der men ujde dil par kitne mahshar beet ga.e jitni der men tujh ko pa kar khone ka imkaan hua kal tak jis ke gird tha raksaan ik amboh sitaaron ka aaj usii ko tanhaa pa kar main to bahut hairaan hua us ke zakham chhupa kar rakhiye KHud us shaKHs ki nazaron seus se kaisa shikwa kijeye vo to abhii naadaan hua jin ashkon ki feeki lau ko ham be-kaar samjhte the un ashkon se kitna raushan ik tareek makaan hua yuñ bhi kam-aamez tha mohsin vo is shahar ke logon men lekin mere saamne aa kar aur bhi kuchh anjaan hua

Mohsin Naqvi

0 likes

naya hai shahar naye aasre talash karoon tu kho gaya hai kahaan ab tujhe talash karoon jo dasht men bhi jalate the fasl-e-gul ke charaaghh main shahar men bhi vahii aable talash karoon tu aks hai to kabhi meri chashm-e-tar men utar tire li.e main kahaan aaine talash karoon tujhe hawas ki aawaargi ka ilm kahaan kabhi main tujh ko tire saamne talash karoon ghazal kahooñ kabhi saada se khat likhoon us ko udaas dil ke li.e mashghale talash karoon mire vujood se shaayad mile suraagh tira kabhi main KHud ko tire vaaste talash karoon main chup rahoon kabhi be-wajh hañs padhoon mohsin use ganwa ke ajab hausale talash karoon

Mohsin Naqvi

2 likes

ab vo toofan hai na vo shor hawaon jaisa dil ka aalam hai tere baa'd khalaao jaisa kaash duniya mere ehsaas ko waapas kar de KHaamushi ka vahii andaaz sadaaon jaisa paas rah kar bhi hamesha vo bahut door milaus ka andaaz-e-taghaful tha khudaon jaisa kitnii shiddat se bahaaron ko tha ehsaas-e-ma'aal phool khil kar bhi raha zard khizaaon jaisa kya qayaamat hai ki duniya use sardaar kahe jis ka andaaz-e-sukhan bhi ho gadaaon jaisa phir teri yaad ke mausam ne jagaae mahshar phir mere dil men utha shor hawaon jaisa baarha KHvaab men pa kar mujhe pyaasa mohsinus kii zulfon ne kiya rak's ghataon jaisa

Mohsin Naqvi

1 likes

azaab-e-deed men aañkhen lahu lahu kar ke main sharmasaar hua teri justuju kar ke khandar ki tah se buriida-badan saroon ke siva mila na kuchh bhi khazaano ki aarzoo kar ke suna hai shahar men zakhmi dilon ka mela hai chalenge ham bhi magar pairhan rafu kar ke masafat-e-shab-e-hijraan ke baa'd bhed khula hawa dukhi hai charaaghon ki aabroo kar ke zameen ki pyaas usii ke lahu ko chaat gaii vo KHush hua tha samundar ko aabjoo kar ke ye kis ne ham se lahu ka khiraaj phir maanga abhii to soye the maqtal ko surkh-roo kar ke juloos-e-ahl-e-wafa kis ke dar pe pahuncha hai nishaan-e-tauq-e-wafa zeenat-e-guloo kar ke ujaad rut ko gulaabi banaaye rakhti hai hamaari aankh tiri deed se wuzoo kar ke koi to habs-e-hawaa se ye poochta mohsin mila hai kya use kaliyon ko be-numoo kar ke

Mohsin Naqvi

1 likes

zabaan rakhta hooñ lekin chup khada hooñ main aawazon ke ban men ghir gaya hooñ mire ghar ka dareecha poochta hai main saara din kahaan firta raha hooñ mujhe mire siva sab log samjhen main apne aap se kam bolta hooñ sitaaron se hasad ki intiha hai main qabron par charaaghaan kar raha hooñ sambhal kar ab hawaon se uljhana main tujh se pesh-tar bujhne laga hooñ mirii qurbat se kyun khaif hai duniya samundar hooñ main KHud men goonjtaa hooñ mujhe kab tak sametega vo mohsin main andar se bahut toota hua hooñ

Mohsin Naqvi

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mohsin Naqvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mohsin Naqvi's ghazal.