ghazalKuch Alfaaz

khandani rishton men aksar raqabat hai bahut ghar se niklo to ye duniya khubsurat hai bahut apne college men bahut maghhrur jo mashhur hai dil mira kahta hai us ladki men chahat hai bahut un ke chehre chand taron ki tarah raushan rahe jin ghharibon ke yahan husn-e-qanaat hai bahut ham se ho sakti nahin duniya ki duniya-dariyan ishq ki divar ke saae men rahat hai bahut dhuup ki chadar mire suraj se kahna bhej de ghhurbaton ka daur hai jadon ki shiddat hai bahut in andheron men jahan sahmi hui thi ye zamin raat se tanha lada jugnu men himmat hai bahut khandani rishton mein aksar raqabat hai bahut ghar se niklo to ye duniya khubsurat hai bahut apne college mein bahut maghrur jo mashhur hai dil mera kahta hai us ladki mein chahat hai bahut un ke chehre chand taron ki tarah raushan rahe jin gharibon ke yahan husn-e-qanaat hai bahut hum se ho sakti nahin duniya ki duniya-dariyan ishq ki diwar ke sae mein rahat hai bahut dhup ki chadar mere suraj se kahna bhej de ghurbaton ka daur hai jadon ki shiddat hai bahut in andheron mein jahan sahmi hui thi ye zamin raat se tanha lada jugnu mein himmat hai bahut

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

More from Bashir Badr

maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha

Bashir Badr

1 likes

patthar ke jigar waalo gham men vo ravaani hai KHud raah banaa lega bahta hua paani hai ik zehen-e-pareshaan men khwaab-e-ghazlistaan hai patthar ki hifazat men sheeshe ki jawaani hai dil se jo chatte baadal to aankh men saawan hai thehra hua dariyaa hai bahta hua paani hai ham-rang-e-dil-e-pur-khoon har laala-e-sehraai gesu ki tarah muztar ab raat ki raani hai jis sang pe nazrein keen khurshid-e-haqeeqat hai jis chaand se munh moda patthar ki kahaanii hai ai peer-e-khirad-mandaan dil ki bhi zaroorat hai ye sheher-e-ghazaalaan hai ye mulk-e-jawaani hai gham wajh-e-figaar-e-dil gham wajh-e-qaraar-e-dil aañsu kabhi sheesha hai aañsu kabhi paani hai is hausla-e-dil par ham ne bhi kafan pahna hañs kar koi poochhega kya jaan ganvaani hai din talkh haqaaiq ke seharaaon ka suraj hai shab gesu-e-afsana yaadon ki kahaanii hai vo husn jise ham ne rusva kiya duniya men na-deeda haqeeqat hai na-gufta kahaanii hai vo misra-e-aawaara deewaanon pe bhari hai jis men tire gesu ki be-rabt kahaanii hai ham khushboo-e-aawaara ham noor-e-pareshaan hain ai badr muqaddar men aashufta-bayaani hai

Bashir Badr

1 likes

chamak rahi hai paron men udaan ki KHushboo bula rahi hai bahut aasmaan ki KHushboo bhatk rahi hai puraani dulaaiyaan odhe haveliyon men mire khaandaan ki KHushboo suna ke koi kahaanii ha men sulaati thii duaon jaisi bade paan-daan ki KHushboo daba tha phool koi mez-posh ke neeche garaj rahi thii bahut pechvaan ki KHushboo ajab vaqaar tha sukhe sunhare baalon men udaasiyon ki chamak zard lawn ki KHushboo vo itr-daan sa lahjaa mire buzurgon ka rachi-basi hui urdu zabaan ki KHushboo ghazal ki shaakh pe ik phool khilne vaala hai badan se aane lagii zaafaraan ki KHushboo imaarton ki bulan dii pe koi mausam kya kahaan se aa gaii kacche makaan ki KHushboo gulon pe likhti hui la-ilaha-illallah pahaadiyon se utarti azaan ki KHushboo

Bashir Badr

6 likes

mire dil ki raakh kured mat ise muskuraa ke hawa na de ye charaaghh phir bhi charaaghh hai kahii teraa haath jala na de naye daur ke naye KHvaab hain naye mausamon ke gulaab hain ye mohabbaton ke charaaghh hain inhen nafratoin ki hawa na de zaraa dekh chaand ki pattiyon ne bikhar bikhar ke tamaam shab tira naam likkha hai ret par koi lehar aa ke mita na de main udaasiyaan na saja sakoon kabhi jism-o-jaan ke mazaar parna diye jalen mirii aankh men mujhe itni sakht saza na de mire saath chalne ke shauq men badi dhoop sar pe uthaaega tira naak naqsha hai mom ka kahii gham ki aag ghula na de main ghazal ki shabnami aankh se ye dukhon ke phool chuna karoon mirii saltanat mira fan rahe mujhe taaj-o-takht KHuda na de

Bashir Badr

7 likes

agar yaqeen nahin aata to aazm aa.e mujhe vo aaina hai to phir aaina dikh aa.e mujhe ajab charaaghh hooñ din raat jalta rehta hooñ main thak gaya hooñ hawa se kaho buj aa.e mujhe main jis ki aankh ka aañsu tha us ne qadr na ki bikhar gaya hooñ to ab ret se uth aa.e mujhe bahut dinon se main in pattharon men patthar hooñ koi to aa.e zaraa der ko rul aa.e mujhe main chahta hooñ ki tum hi mujhe ijaazat do tumhaari tarah se koi gale lag aa.e mujhe

Bashir Badr

9 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bashir Badr.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.