KHaamosh ho kyun daad-e-jafa kyun nahin dete bismil ho to qaateel ko dua kyun nahin dete vehshat ka sabab rauzan-e-zindaan to nahin hai mehr o mah o anjum ko bujha kyun nahin dete ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai ai chaaragaro dard badha kyun nahin dete munsif ho agar tum to kab insaaf karoge mujrim hain agar ham to saza kyun nahin dete rehzan ho to haazir hai mata-e-dil-o-jaan bhi rahbar ho to manzil ka pata kyun nahin dete kya beet gaii ab ke faraaz ahl-e-chaman par yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyun nahin dete
Related Ghazal
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho
Himanshi babra KATIB
76 likes
More from Ahmad Faraz
kyun tabeeyat kahii thaharti nahin dosti to udaas karti nahin ham hamesha ke sair-chashm sahi tujh ko dekhen to aankh bharti nahin shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah kat to jaati hai par guzarti nahin ye mohabbat hai sun zamaane sun itni aasaaniyon se marti nahin jis tarah tum guzaarte ho faraaz zindagi us tarah guzarti nahin
Ahmad Faraz
6 likes
us ko juda hue bhi zamaana bahut hua ab kya kahein ye qissa puraana bahut hua ham khuld se nikal to ga.e hain par ai KHuda itne se waqie ka fasana bahut hua ab ham hain aur saare zamaane ki dushmanius se zaraa sa rabt badhaana bahut hua ab kyoon zindagi pe mohabbat ko vaar den is aashiqi men jaan se jaana bahut hua ab tak to dil ka dil se ta'aruf na ho sakaa maana ki us se milnaa milaana bahut hua kya kya na ham KHaraab hue hain magar ye dil ai yaad-e-yaar teraa thikaana bahut hua kahtaa tha naasehon se mire munh na aaiyo phir kya tha ek huu ka bahaana bahut hua lo phir tire labon pe usii be-vafa ka zikr ahmad-'faraz tujh se kaha na bahut hua
Ahmad Faraz
8 likes
karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use ghazal bahaana karoon aur gungunaun use vo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind main zakham zakham hooñ phir bhi gale lagaaun use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karoon ab kahaan se laaun use magar vo zood-faramosh zood-ranj bhi hai ki rooth jaa.e agar yaad kuchh dilaaun use vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaan tumhaari baat pe ai naaseho ganwaun use jo hum-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use
Ahmad Faraz
6 likes
aashiqi men meer jaise KHvaab mat dekha karo baawle ho jaaoge mahtaab mat dekha karo jasta jasta padh liya karna mazaameen-e-wafa par kitaab-e-ishq ka har baab mat dekha karo is tamaashe men ult jaati hain akshar kashtiyaañ doobne waalon ko zer-e-aab mat dekha karo may-kade men kya takalluf may-kashi men kya hijaab bazm-e-saaqi men adab aadaab mat dekha karo ham se darveshon ke ghar aao to yaaron ki tarah har jagah khas-khaana o barfaab mat dekha karo maange-taange ki qabaayein der tak rahtii nahin yaar logon ke laqab-alaqab mat dekha karo tishnagi men lab bhigo lena bhi kaafi hai faraaz jaam men sahaba hai ya zehraab mat dekha karo
Ahmad Faraz
4 likes
aankh se door na ho dil se utar jaayega vaqt ka kya hai guzarta hai guzar jaayega itnaa maanoos na ho khilvat-e-gham se apni tu kabhi KHud ko bhi dekhega to dar jaayega doobte doobte kashtii ko uchhaala de doon main nahin koi to saahil pe utar jaayega zindagi teri ata hai to ye jaane vaala teri bakshish tiri dahleez pe dhar jaayega zabt laazim hai magar dukh hai qayamat ka faraaz zalim ab ke bhi na roega to mar jaayega
Ahmad Faraz
7 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Faraz.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.







