aankh se door na ho dil se utar jaayega vaqt ka kya hai guzarta hai guzar jaayega itnaa maanoos na ho khilvat-e-gham se apni tu kabhi KHud ko bhi dekhega to dar jaayega doobte doobte kashtii ko uchhaala de doon main nahin koi to saahil pe utar jaayega zindagi teri ata hai to ye jaane vaala teri bakshish tiri dahleez pe dhar jaayega zabt laazim hai magar dukh hai qayamat ka faraaz zalim ab ke bhi na roega to mar jaayega
Related Ghazal
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
More from Ahmad Faraz
karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use ghazal bahaana karoon aur gungunaun use vo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind main zakham zakham hooñ phir bhi gale lagaaun use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karoon ab kahaan se laaun use magar vo zood-faramosh zood-ranj bhi hai ki rooth jaa.e agar yaad kuchh dilaaun use vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaan tumhaari baat pe ai naaseho ganwaun use jo hum-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use
Ahmad Faraz
3 likes
jis se ye tabeeyat badi mushkil se lagii thii dekha to vo tasveer har ik dil se lagii thii tanhaaii men rote hain ki yuñ dil ko sukoon ho ye chot kisi sahib-e-mehfil se lagii thii ai dil tire aashob ne phir hashr jagaaya bedard abhii aankh bhi mushkil se lagii thii khilqat ka ajab haal tha us koo-e-sitam men saa.e ki tarah daaman-e-qaatil se lagii thii utara bhi to kab dard ka chadhta hua dariyaa jab kashti-e-jaan maut ke saahil se lagii thii
Ahmad Faraz
3 likes
jo gair the vo isee baat par hamaare hue ki ham se dost bahut be-KHabar hamaare hue kise khabar vo mohabbat thii ya raqabat thii bahut se log tujhe dekh kar hamaare hue ab ik hujoom-e-shikasta-dilaan hai saath apne jinhen koi na mila hum-safar hamaare hue kisi ne gham to kisi ne mizaaj-e-gham bakhsha sab apni apni jagah chaaragar hamaare hue bujha ke taq ki shamein na dekh taaron ko isee junoon men to barbaad ghar hamaare hue vo e'timaad kahaan se faraaz laayenge kisi ko chhod ke vo ab agar hamaare hue
Ahmad Faraz
9 likes
us ko juda hue bhi zam aanaa bahut hua ab kya kahein ye qissa pur aanaa bahut hua dhalti na thii kisi bhi jatan se shab-e-firaq ai marg-e-na-gahaan tira aanaa bahut hua ham khuld se nikal to ga.e hain par ai KHuda itne se waqie ka fasana bahut hua ab ham hain aur saare zamaane ki dushmanius se zaraa sa rabt badh aanaa bahut hua ab kyun na zindagi pe mohabbat ko vaar den is aashiqi men jaan se j aanaa bahut hua ab tak to dil ka dil se taaruf na ho sakaa m aanaa ki us se milnaa mil aanaa bahut hua kya kya na ham KHaraab hue hain magar ye dil ai yaad-e-yaar teraa thik aanaa bahut hua kahtaa tha naasehon se mire munh na aaiyo phir kya tha ek huu ka bah aanaa bahut hua lo phir tire labon pe usii be-vafa ka zikr ahmad-'faraz tujh se kaha na bahut hua
Ahmad Faraz
2 likes
ab shauq se ki jaañ se guzar jaana chahiye bol ai hawa-e-shehr kidhar jaana chahiye kab tak isee ko aakhiri manzil kaheinge ham koo-e-muraad se bhi udhar jaana chahiye vo vaqt aa gaya hai ki saahil ko chhod kar gehre samundron men utar jaana chahiye ab raftagaan ki baat nahin kaarwaan ki hai jis samt bhi ho gard-e-safar jaana chahiye kuchh to suboot-e-khoon-e-tamanna kahii mile hai dil tahee to aankh ko bhar jaana chahiye ya apni khwahishon ko muqaddas na jaante ya khwahishon ke saath hi mar jaana chahiye
Ahmad Faraz
10 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Faraz.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.







