khat likh ke koi saada na us ko malool ho ham to hooñ bad-gumaan jo qaasid-e-rasool ho chaahoon to bhar ke kaulee utha luun abhii tumhein kaise hi bhari ho mire aage to phool ho surma jo noor bakshe hai aankhoñ ko khalk ki shaayad ki raah-e-yaar ki hi KHaak dhool ho jaaven nisaar hone ko ham kis bisaat par ik neem jaañ rakhen hain so vo jab qubool ho ham in dinon men lag nahin padte hain subh-o-shaam warna dua karen to jo chahein husool ho dil le ke launde dilli ke kab ka pacha ga.e ab un se khaai pee hui shay kiya vasool ho naakaam is li.e ho ki chaaho ho sab kuchh aaj tum bhi to meer saahib-o-qibla ajuul ho
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga chahta hooñ tumhein aur bahut chahta hooñ tumhein KHud bhi maaloom hai haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga tere dil se tere shahar se tere ghar se teri aankh se tere dar se teri galiyon se tere watan se nikala hua hooñ kidhar jaaunga
Tehzeeb Hafi
241 likes
More from Meer Taqi Meer
yuñ hi hairaan-o-khafa jon ghuncha-e-tasveer hon umr guzri par na jaana main ki kyun dil-geer hon itni baatein mat banaa mujh shefate se naaseha pand ke laayeq nahin main qaabil-e-zanjeer hon surkh rahtii hain mirii aañkhen lahu rone se shaikh may agar saabit ho mujh par waajib al-taazeer hooñ ne falak par raah mujh ko ne zameen par rau mujhe aise kis mahroom ka men shor-e-be-taaseer hooñ jon kamaan garche khameeda hooñ pe chhoota aur wahinus ke kooche ki taraf chalne ko yaaro teer hooñ jo mire hisse men aave tegh-e-jamadhar sail-o-kaard ye fuzooli hai ki main hi kushta-e-shamsheer hooñ khol kar deevaan meraa dekh qudrat muddai garche hooñ main naujavaan par sha'iron ka peer hooñ yuñ saadat ek jamdhar mujh ko bhi guzaariye munsifi kijeye to main to mahaj be-taqseer hooñ is qadar be-nang khabton ko naseehat shaikh-ji baaz aao warna apne naam ko main meer hooñ
Meer Taqi Meer
0 likes
shikwa karoon main kab tak us apne meherbaan ka al-qissaa rafta rafta dushman hua hai jaañ ka girye pe rang aaya qaid-e-qafas se shaayad khun ho gaya jigar men ab daagh gulsitaan ka le jhaadoo tokra hi aata hai subah hote jaarub-kash magar hai khurshid us ke haan ka dii aag rang-e-gul ne waan ai saba chaman ko yaa ham jale qafas men sun haal aashiyaan ka har subh mere sar par ik haadisa naya hai paivand ho zameen ka sheva is aasmaañ ka in said-afganoon ka kya ho shikaar koi hota nahin hai aaKHir kaam un ke imtihaan ka tab to mujhe kiya tha teeron se said apna ab karte hain nishaana har mere ustukhwaan ka fitraak jis ka akshar lohoo men tar rahe hai vo qasd kab kare hai is said-e-naatwaan ka kam-fursati jahaan ke maj men ki kuchh na poochho ahvaal kya kahooñ main is majlis-e-ravaan ka sajda karen hain sun kar obaash saare us ko sayyad pisar vo pyaara haiga imaam baanka na-haq shanaasi hai ye zaahid na kar barabar taa'at se sau baras ki sajda us aastaan ka hain dasht ab ye jeete baste the shahar saare veeraan-e-kuhan hai maamoora is jahaan ka jis din ki us ke munh se burqa uthega suniyous roz se jahaan men khurshid phir na jhaanka na-haq ye zulm karna insaaf kah piyaare hai kaun si jagah ka kis shahar ka kahaan ka saudaai ho to rakhe bazaar-e-ishq men pa sar muft bechte hain ye kuchh chalan hai waan ka sau gaali ek chashmak itnaa sulook to hai obaash khaana jang us khush-chashm bad-zabaan ka ya roye ya rulaaya apni to yuñ hi guzri kya zikr hum-safeeraan yaaraan-e-shaadmaan ka qaid-e-qafas men hain to khidmat hai naalgi ki gulshan men the to ham ko mansab tha rouza-khwaan ka poochho to meer se kya koi nazar pada hai chehra utar raha hai kuchh aaj us jawaan ka
Meer Taqi Meer
0 likes
kya kahein apni us ki shab ki baat kahiye hove jo kuchh bhi dhab ki baat ab to chup lag gaii hai hairat se phir khulegi zabaan jab ki baat nukta-daanan-e-rafta ki na kaho baat vo hai jo hove ab ki baat kis ka roo-e-sukhan nahin hai udhar hai nazar men hamaari sab ki baat zulm hai qahr hai qayamat hai ghusse men us ke zer-e-lab ki baat kahte hain aage tha buton men rahm hai KHuda jaaniye ye kab ki baat go ki aatish-zabaan the aage meer ab ki kahiye gaii vo tab ki baat
Meer Taqi Meer
1 likes
band-e-qaba ko khooban jis vaqt vaa karenge khemyaaza-kash jo honge milne ke kya karenge rona yahii hai mujh ko teri jafaa se har-dam ye dil-dimaagh dono kab tak vafaa karenge hai deen sar ka dena gardan pe apni khooban jeete hain to tumhaara ye qarz ada karenge darvesh hain ham aaKHir do-ik nigah ki ruksat goshe men baithe pyaare tum ko dua karenge aaKHir to rozay aa.e do-chaar roz ham bhi tarsa bachon men ja kar daaru piya karenge kuchh to kahega ham ko KHaamosh dekh kar vo is baat ke li.e ab chup hi raha karenge aalam mire hai tujh par aayi agar qayamat teri gali ke har-soo mahshar hua karenge daaman-e-dasht sookha abron ki be-tehi se jungle men rone ko ab ham bhi chala karenge laai tiri gali tak aawaargi hamaari zillat ki apni ab ham izzat kiya karenge ahwaal-'meer kyunkar aaKHir ho ek shab men ik umr ham ye qissa tum se kaha karenge
Meer Taqi Meer
0 likes
shab tha naalaan aziz koi tha murg-e-khush-khwaan aziz koi tha thii tumhaare sitam ki taab us tak sabr jo yaa aziz koi tha shab ko us ka khayal tha dil men ghar men mehmaan aziz koi tha chaah beja na thii zulekha ki maah-e-kanaan aziz koi tha ab to us ki gali men khaar hai lek meer be-jaan aziz koi tha
Meer Taqi Meer
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Meer Taqi Meer.
Similar Moods
More moods that pair well with Meer Taqi Meer's ghazal.







