ghazalKuch Alfaaz

khauf ban kar ye khayal aata hai akshar mujh ko dasht kar jaayega ik roz samundar mujh ko main saraapa hooñ khabar-naama-e-imroz-e-jahaan kal bhula de na ye duniya kahii padh kar mujh ko har nafs mujh men taghayyur ki hawaaye larzaan murtasim kar na sakaa koi bhi manzar mujh ko apne saahil pe main KHud tishna-dahan baitha hooñ dekh dariyaa ki taraai se nikal kar mujh ko mire saa.e men bhi mujh ko nahin rahne dega mire hi ghar men rakhega koi be-ghar mujh ko kaargar koi bhi tadbeer na hone dega kya muqaddar hai ki le jaayega dar-dar mujh ko kaam aayegi na bedaar-nigaahi bhi ameer KHvaab kah jaayega ik din mira paikar mujh ko

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai

Jaun Elia

113 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

More from Ameer Qazalbash

fikr-e-ghurbat hai na andesha-e-tanhaai hai zindagi kitne hawadis se guzar aayi hai log jis haal men marne ki dua karte hain main ne us haal men jeene ki qasam khaai hai ham na suqraat na mansoor na iisa lekin jo bhi qaateel hai hamaara hi tamannaai hai zindagi aur hain kitne tire chehre ye bataa tujh se ik umr ki haalaanki shanaasaai hai kaun na-waaqif-e-anjaam-e-tabassum hai ameer mere haalaat pe ye kis ko hañsi aayi hai

Ameer Qazalbash

2 likes

har gaam haadsa hai thehar jaaie janab rastaa agar ho yaad to ghar jaaie janab zinda haqeeqaton ke talaatum hain saamne KHvaabon ki kashtiyon se utar jaaie janab insaaf ki saleeb hooñ sacchaaiyon ka zahar mujh se mile baghair guzar jaaie janab din ka safar to kat gaya suraj ke saath saath ab shab ki anjuman men bikhar jaaie janab koi chura ke le gaya sadiyon ka e'tiqaad mimbar ki seedhiyon se utar jaaie janab

Ameer Qazalbash

2 likes

meri pahchaan hai kya meraa pata de mujh ko koi aaina agar hai to dikha de mujh ko tujh se milta hooñ to akshar ye khayal aata hai is bulan dii se agar koi giraa de mujh ko kab se patthar ki chattaanon men hooñ gumnaam o aseer devataaon ki tarah koi jaga de mujh ko ek aaina sar-e-raah li.e baitha hooñ jurm aisa hai ki har shaKHs saza de mujh ko in andheron men akela hi jaluñga kab tak koi shay tu bhi to khursheed-numa de mujh ko

Ameer Qazalbash

1 likes

mire haal par meherbaani kare KHuda se kaho hukm-e-saani kare main ik boond paani badi cheez hooñ samundar mirii paasbaani kare padhen log tahreer-e-deewar o dar khulasa mirii be-zabaani kare azal se main us ke ta'aqub men hooñ jo lamha mujhe ghair-faani kare vo bakshe ujaale kisi subh ko koi shaam raushan suhaani kare mire saa.e men sab hain mire siva koi to mirii saaebaani kare koi hai jo badh ke utha le ameer vo tesha jo patthar ko paani kare

Ameer Qazalbash

0 likes

paai har ek raah-guzar par udaasiyaan nikli hui hain kab se safar par udaasiyaan khwaabida shahar jaagne vaala hai laut aao bai thii hui hain shaam se ghar par udaasiyaan main khauf se larzata raha padh nahin sakaa phaili hui theen ek khabar par udaasiyaan suraj ke haath sabz qabaon tak aa ga.e ab hain yahaañ har ek shajar par udaasiyaan apne bhi khatt-o-khaal nigaahon men ab nahin is tarah chha gaii hain nazar par udaasiyaan faila raha hai kaun kabhi sochta hooñ main KHvaabon ke ek ek nagar par udaasiyaan sab log ban ga.e hain agar ajnabi to kya chhod aayengi mujhe mire dar par udaasiyaan

Ameer Qazalbash

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ameer Qazalbash.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ameer Qazalbash's ghazal.