khayal jis ka tha mujhe khayal men mila mujhe saval ka javab bhi saval men mila mujhe gaya to is tarah gaya ki muddaton nahin mila mila jo phir to yuun ki vo malal men mila mujhe tamam ilm ziist ka guzishtagan se hi hua amal guzishta daur ka misal men mila mujhe nihal sabz rang men jamal jis ka hai 'munir' kisi qadim khvab ke muhal men mila mujhe khayal jis ka tha mujhe khayal mein mila mujhe sawal ka jawab bhi sawal mein mila mujhe gaya to is tarah gaya ki muddaton nahin mila mila jo phir to yun ki wo malal mein mila mujhe tamam ilm zist ka guzishtagan se hi hua amal guzishta daur ka misal mein mila mujhe nihaal sabz rang mein jamal jis ka hai 'munir' kisi qadim khwab ke muhaal mein mila mujhe
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
More from Muneer Niyazi
hañsi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya ye ik jhalak ka tamasha jigar jala bhi gaya utha to ja bhi chuka tha ajeeb mehmaantha sadaaende ke mujhe neend se jaga bhi gaya ghazab hua jo andhere men jal u thii bijli badan kisi ka tilismaat kuchh dikha bhi gaya hawa thii gahri ghatta thii hina ki KHushboo thii ye ek raat ka qissa lahu rula bhi gaya chalo muneer chalen ab yahaanrahen bhi to kya vo sang-dil to yahaan se kahii chala bhi gaya
Muneer Niyazi
4 likes
be-khayaali men yoon hi bas ik iraada kar liya apne dil ke shauq ko had se ziyaada kar liya jaante the dono ham us ko nibha sakte nahinus ne vaa'da kar liya maine bhi vaa'da kar liya gair se nafrat jo pa li kharch KHud par ho gaii jitne ham the ham ne KHud ko us se aadha kar liya shaam ke rangon men rakh kar saaf paani ka gilaas aab-e-saada ko hareef-e-rang-e-baada kar liya hijraton ka khauf tha ya pur-kashish kohna maqaam kya tha jis ko ham ne KHud deewar-e-jaada kar liya ek aisa shaKHs banta ja raha hooñ main muneer jis ne KHud par band husn o jaam o baada kar liya
Muneer Niyazi
6 likes
zinda rahen to kya hai jo mar jaayen ham to kya duniya se KHaamushi se guzar jaayen ham to kya hasti hi apni kya hai zamaane ke saamne ik KHvaab hain jahaan men bikhar jaayen ham to kya ab kaun muntazir hai hamaare li.e vahaañ shaam aa gaii hai laut ke ghar jaayen ham to kya dil ki khalish to saath rahegi tamaam umr dariya-e-gham ke paar utar jaayen ham to kya
Muneer Niyazi
9 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Muneer Niyazi.
Similar Moods
More moods that pair well with Muneer Niyazi's ghazal.







