ghazalKuch Alfaaz

khoya hai tu kin khayalon men raqib in siyah balon ya galon men raqib haath mera dekh kar un hathon men pad gaya akhir savalon men raqib kya bataun shahr valon ka tumhen sab se achchha shahr valon men raqib dosti gahri thi pahle donon men ho gae do ek salon men raqib chhodne vaala hi tha us ko magar aa gaya yaksar khayalon men raqib huun misalon men sar-e-fihrist main ghham to ye hai be misalon men raqib vo pari hasil hui to hai sabab ja rahe tu bhi ujalon men raqib tu ne 'bismil' fath paai akhirash rah gaya nakam chalon men raqib khoya hai tu kin khayalon mein raqib in siyah baalon ya galon mein raqib hath mera dekh kar un hathon mein pad gaya aakhir sawalon mein raqib kya bataun shahr walon ka tumhein sab se achchha shahr walon mein raqib dosti gahri thi pahle donon mein ho gae do ek salon mein raqib chhodne wala hi tha us ko magar aa gaya yaksar khayalon mein raqib hun misalon mein sar-e-fihrist main gham to ye hai be misalon mein raqib wo pari hasil hui to hai sabab ja rahe tu bhi ujalon mein raqib tu ne 'bismil' fath pai aakhirash rah gaya nakaam chaalon mein raqib

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Murtaza Bismil.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Murtaza Bismil's ghazal.