ghazalKuch Alfaaz

KHud ko hujoom-e-dahr men khona pada mujhe jaise the log waisa hi hona pada mujhe dushman ko marte dekh ke logon ke saamne dil hañs raha tha aankh se rona pada mujhe kuchh is qadar the phool zameen par khile hue taaron ko aasmaan men bona pada mujhe aisi shikast thii ki kati ungliyon ke saath kaanton ka ek haar pirona pada mujhe kaari nahin tha vaar magar ek umr tak aab-e-namak se zakham ko dhona pada mujhe aasaan nahin hai likhna gham-e-dil ki waardaat apna qalam lahu men dubona pada mujhe itni taveel o sard shab-e-hijr thii naseem kitnii hi baar jaagna sona pada mujhe

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

More from Iftikhar Naseem

is qadar bhi to na jazbaat pe qaabu rakho thak ga.e ho to mire kaandhe pe baazu rakho bhoolne paa.e na is dasht ki vehshat dil se shahar ke beech raho baagh men aahu rakho khushk ho jaayegi rote hue sehra ki tarah kuchh bacha kar bhi to is aankh men aañsu rakho raushni hogii to aa jaayega rah-rav dil kaus ki yaadon ke diye taq men har-soo rakho yaad aayegi tumhaari hi safar men us kous ke roomaal men ik achchhii si khushboo rakho ab vo mahboob nahin apna magar dost to haius se ye ek ta'alluq hi bahr-soo rakho

Iftikhar Naseem

0 likes

libaas-e-khaak sahi par kahii zaroor hooñ main bataa rahi hai chamak aankh ki ki noor hooñ main koi nahin jo mirii lau se raasta dekhe hawaa-e-tund bujha de tire huzoor hooñ main panaah deta nahin koi aur sayyaara bhatk raha hooñ khala men zameen se door hooñ main na ho giraa ke mujhe tu bhi KHaak men mil jaa.e mujhe gale se laga le tira ghuroor hooñ main nikal pada hooñ yoonhi itni barf-baari men badan ke garm lahu ka ajab suroor hooñ main saza bhi kaat chuka hooñ main jis KHataa ki naseem kise pukaaroon kahooñ is men be-qusoor hooñ main

Iftikhar Naseem

0 likes

lagega ajnabi ab kyuuñ na shahar bhar mujh ko bacha gaya hai nazar tu bhi dekh kar mujh ko main ghoom phir ke usii samt aa nikalta hoonjakad rahi hai tire ghar ki raahguzaar mujh ko jhuls raha hai badan zer-e-saaya-e-deewaar bula raha hai koi dasht-e-be-shajar mujh ko main sang-dil hooñ tujhe bhoolta hi jaata hooñ main hañs raha hooñ to mil ke udaas kar mujh ko main dekhta hi rahoonga tujhe kinaare se tu dhoondhta hi rahega bhanwar bhanwar mujh ko banii hain tund hawaon ki zard deewarein uda raha hai magar shola-e-safar mujh ko banaa diya hai nidar zid dii khwahishon ne naseem KHud e'timaad na tha apne aap par mujh ko

Iftikhar Naseem

0 likes

na jaane kab vo palat aayen dar khula rakhna ga.e hue ke li.e dil men kuchh jagah rakhna hazaar talkh hon yaaden magar vo jab bhi mile zabaan pe achchhe dinon ka hi zaaika rakhna na ho ki qurb hi phir marg-e-rabt ban jaa.e vo ab mile to zaraa us se fasla rakhna utaar fenk de khush-fahmiyon ke saare ghilaaf jo shaKHs bhool gaya us ko yaad kya rakhna abhii na ilm ho us ko lahu ki lazzat ka ye raaz us se bahut der tak chhupa rakhna k abhii na laana masaail gharo ke daftar men ye dono pahluu hamesha juda juda rakhna uda diya hai jise choom kar hawa men naseem use hamesha hifazat men ai KHuda rakhna

Iftikhar Naseem

0 likes

saraaye chhod ke vo phir kabhi nahin aaya chala gaya jo musaafir kabhi nahin aaya har ek shay mire ghar men usii ke zauq ki hai jo mire ghar men ba-zaahir kabhi nahin aaya ye kaun mujh ko adhoora banaa ke chhod gaya palat ke meraa musavvir kabhi nahin aaya makaan hooñ jis men koi bhi makeen nahin rehta shajar hooñ jis pe ki taair kabhi nahin aaya

Iftikhar Naseem

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Iftikhar Naseem.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Iftikhar Naseem's ghazal.