ghazalKuch Alfaaz

khulenge jab talak asrar koi utar jaega dariya paar koi masiha der hoti ja rahi hai kahin mar jaega bimar koi main reza reza hota ja raha huun mujhe darkar hai me'mar koi main shab bhar todta rahta huun is ko utha deta hai phir divar koi mujhe maqtal sadaen de raha hai kahin gunji hai phir lalkar koi lada huun jis tarah main khud se tanha hava hai barsar-e-paikar koi ye mera des hai jannat khuda ki hai varis koi da'vedar koi kisi ne qaid kar liin fakhtaen utha kar le gaya ashjar koi mira ik dard ye bhi hai ki mera kahani men nahin kirdar koi to kya main bhi banata daere hi jo mil jaati mujhe parkar koi khulenge jab talak asrar koi utar jaega dariya par koi masiha der hoti ja rahi hai kahin mar jaega bimar koi main reza reza hota ja raha hun mujhe darkar hai me'mar koi main shab bhar todta rahta hun is ko utha deta hai phir diwar koi mujhe maqtal sadaen de raha hai kahin gunji hai phir lalkar koi lada hun jis tarah main khud se tanha hawa hai barsar-e-paikar koi ye mera des hai jannat khuda ki hai waris koi da'wedar koi kisi ne qaid kar lin fakhtaen utha kar le gaya ashjar koi mera ek dard ye bhi hai ki mera kahani mein nahin kirdar koi to kya main bhi banata daere hi jo mil jati mujhe parkar koi

Related Ghazal

mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari

Ali Zaryoun

70 likes

ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii

Zubair Ali Tabish

80 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Alamdar Hussain.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Alamdar Hussain's ghazal.