ki haq se farishton ne iqbaal ki gammaazi gustaakh hai karta hai fitrat ki hina-ban dii khaaki hai magar is ke andaaz hain aflaaki roomi hai na shaami hai kaashi na samarqan dii sikhlaai farishton ko aadam ki tadap us ne aadam ko sikhaata hai aadaab-e-khudaavan dii
Related Ghazal
tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho
Jaun Elia
315 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
baat aisi hai aisa tha pahle dard hone pe rota tha pahle jaise chahe vo khela karta tha main kisi ka khilauna tha pahle tujhpe kitna bharosa karta tha KHud pe kitna bharosa tha pahle aakhiri raaste pe chalne ko pair usne uthaya tha pahle ab to tasveer tak nahin banti main to paikar banata tha pahle raushni aayi jab jala koi sabki aankhoñ pe parda tha pahle ginti peeche se ki gayi varna meraa number to pehla tha pahle
Himanshi babra KATIB
45 likes
More from Allama Iqbal
na tu zameen ke li.e hai na aasmaañ ke li.e jahaan hai tere li.e tu nahin jahaan ke li.e ye aql o dil hain sharar shola-e-mohabbat ke vo khaar-o-khas ke li.e hai ye neestaan ke li.e maqaam-e-parvarish-e-aah-o-laala hai ye chamanna sair-e-gul ke li.e hai na aashiyaan ke li.e rahega raavi o neel o furaat men kab tak tira safeena ki hai bahr-e-be-karan ke li.e nishaan-e-raah dikhaate the jo sitaaron ko taras ga.e hain kisi mard-e-raah-daan ke li.e nigah buland sukhun dil-nawaz jaañ pur-soz yahii hai rakht-e-safar meer-e-kaarwaan ke li.e zaraa si baat thii andesha-e-ajm ne use badha diya hai faqat zeb-e-daastaan ke li.e mire guloo men hai ik naghma jibraail-aashob sambhaal kar jise rakha hai la-makaan ke li.e
Allama Iqbal
1 likes
dil soz se khaali hai nigah paak nahin hai phir is men ajab kya ki tu bebaak nahin hai hai zauq-e-tajalli bhi isee KHaak men pinhaan ghaafil tu nira sahib-e-idraak nahin hai vo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan purkaar o suhkan-saaz hai namnaak nahin hai kya sufi o mulla ko khabar mere junoon ki un ka sar-e-daaman bhi abhii chaak nahin hai kab tak rahe mahkoomi-e-anjum men mirii KHaak ya main nahin ya gardish-e-aflaak nahin hai bijli hooñ nazar koh o biyaabaan pe hai mirii mere li.e shaayaan khas-o-khaashaak nahin hai aalam hai faqat momin-e-jaanbaaz ki meeraas mumin nahin jo sahib-e-laulaak nahin hai
Allama Iqbal
1 likes
na aate ha men is men takraar kya thii magar vaa'da karte hue aar kya thii tumhaare payaami ne sab raaz khola KHataa is men bande ki sarkaar kya thii bharii bazm men apne 'aashiq ko taada tiri aankh masti men hushyaar kya thii taammul to tha un ko aane men qaasid magar ye bataa tarz-e-inkaar kya thii khinche khud-bakhud jaanib-e-toor moosa kashish teri ai shauq-e-deedaar. kya thii kahii zikr rehta hai iqbaal teraa fusoon tha koi teri guftaar kya thii
Allama Iqbal
2 likes
gulzaar-e-hast-o-bood na begaana-waar dekh hai dekhne ki cheez ise baar baar dekh aaya hai tu jahaan men misaal-e-sharaar dekh dam de na jaa.e hasti-na-paayedaar dekh maana ki teri deed ke qaabil nahin hooñ main tu miraa shauq dekh miraa intizaar dekh khuli hain zauq-e-deed ne aañkhen tiri agar har raahguzaar men naqsh-e-kaf-e-pa-e-yaar dekh
Allama Iqbal
1 likes
ye payaam de gaii hai mujhe baad-e-subh-gaahi ki khu dii ke aarifon ka hai maqaam paadshaahi tiri zindagi isee se tiri aabroo isee se jo rahi khu dii to shaahi na rahi to roo-siyaahi na diya nishaan-e-manzil mujhe ai hakeem tu ne mujhe kya gilaa ho tujh se tu na rah-nasheen na raahi mire halka-e-sukhan men abhii zer-e-tarbiyat hain vo gada ki jaante hain rah-o-rasm-e-kaj-kulaahi ye muaamle hain naazuk jo tiri raza ho tu kar ki mujhe to KHush na aaya ye tariq-e-khaanqaahi tu huma ka hai shikaari abhii ibtida hai teri nahin maslahat se khaali ye jahaan-e-murg-o-maahi tu arab ho ya ajam ho tira la ilaah illa lughat-e-ghareeb jab tak tira dil na de gawaahi
Allama Iqbal
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's ghazal.







