ghazalKuch Alfaaz

kis shai pe yahan vaqt ka saaya nahin hota ik khvab-e-mohabbat hai ki budha nahin hota vo vaqt bhi aata hai jab ankhon men hamari phirti hain vo shaklen jinhen dekha nahin hota barish vo barasti hai ki bhar jaate hain jal-thal dekho to kahin abr ka tukda nahin hota ghir jaata hai dil dard ki har band gali men chaho ki nikal jaaen to rasta nahin hota yadon pe bhi jam jaati hai jab gard-e-zamana milta hai vo paighham ki pahuncha nahin hota tanhai men karni to hai ik baat kisi se lekin vo kisi vaqt akela nahin hota kya us se gila kijiye barbadi-e-dil ka ham se bhi to izhar-e-tamanna nahin hota kis shai pe yahan waqt ka saya nahin hota ek khwab-e-mohabbat hai ki budha nahin hota wo waqt bhi aata hai jab aankhon mein hamari phirti hain wo shaklen jinhen dekha nahin hota barish wo barasti hai ki bhar jate hain jal-thal dekho to kahin abr ka tukda nahin hota ghir jata hai dil dard ki har band gali mein chaho ki nikal jaen to rasta nahin hota yaadon pe bhi jam jati hai jab gard-e-zamana milta hai wo paigham ki pahuncha nahin hota tanhai mein karni to hai ek baat kisi se lekin wo kisi waqt akela nahin hota kya us se gila kijiye barbaadi-e-dil ka hum se bhi to izhaar-e-tamanna nahin hota

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge

Vikram Gaur Vairagi

70 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

More from Ahmad Mushtaq

haath se naapta hooñ dard ki gehraai ko ye naya khel mila hai meri tanhaaii ko tha jo seene men charaagh-e-dil-pur-khun na raha chaatiye baith ke ab sabr o shakebaai ko dil-e-afsurda kisi tarah bahalta hi nahin kya karen aap ki is hausla-afzaai ko KHair badnaam to pahle bhi bahut the lekin tujh se milnaa tha ki par lag ga.e ruswaai ko nigah-e-naaz na milte hue ghabra ham se ham mohabbat nahin kehne ke shanaasaai ko dil hai nairangi-e-ayyaam pe hairaan ab tak itni si baat bhi maaloom nahin bhaai ko

Ahmad Mushtaq

0 likes

khoon-e-dil se kisht-e-gham ko seenchta rehta hooñ main khaali kaaghaz par lakeeren kheenchta rehta hooñ main aaj se mujh par mukammal ho gaya deen-e-firaq haan tasavvur men bhi ab tujh se juda rehta hooñ main tu dayaar-e-husn hai unchi rahe teri faseel main hooñ darwaaza mohabbat ka khula rehta hooñ main shaam tak kheeche li.e firte hain is duniya ke kaam subh tak farsh-e-nadaamat par pada rehta hooñ main haan kabhi mujh par bhi ho jaata hai mausam ka asar haan kisi din shaaki-e-aab-o-hawaa rehta hooñ main ahl-e-duniya se ta'alluq qat'a hota hi nahin bhool jaane par bhi soorat-aashna rehta hooñ main

Ahmad Mushtaq

0 likes

ab na bahl sakega dil ab na diye jalaaie ishq-o-hawas hain sab fareb aap se kya chhupaie us ne kaha ki yaad hain rang tulu-e-ishq ke main ne kaha ki chhodije ab unhen bhool jaaie kaise nafees the makaan saaf tha kitna aasmaañ main ne kaha ki vo samaan aaj kahaan se laiye kuchh to suraagh mil sake mausam-e-dard-e-hijr ka sang-e-jamaal-e-yaar par naqsh koi banaaiye koi sharar nahin bacha pichhle baras ki raakh men ham-nafsaan-e-sho'la-khoo aag nayi jalaaie

Ahmad Mushtaq

0 likes

kis jhut-pute ke rang ujaalon men aa ga.e tukde shafaq ke dhoop se gaalon men aa ga.e afsurdagi ki lay bhi tire qahqahon men thii patjhad ke sur bahaar ke jhaalon men aa ga.e ud kar kahaan kahaan se parindon ke qafile na-deeda paaniyon ke khayaalon men aa ga.e husn-e-tamaam the to koi dekhta na tha tum dard ban ke dekhne waalon men aa ga.e kaañte samajh ke ghaas pe chaltaa raha hooñ main qatre tamaam os ke chhaalon men aa ga.e kuchh rat-jage the jin ki zaroorat nahin rahi kuchh KHvaab the jo mere khayaalon men aa ga.e

Ahmad Mushtaq

0 likes

chaand us ghar ke dareechon ke barabar aaya dil-e-mushtaqa thehar ja vahii manzar aaya main bahut KHush tha kaddi dhoop ke sannaate men kyun tiri yaad ka baadal mire sar par aaya bujh gaii raunaq-e-parwaana to mehfil chamki so ga.e ahl-e-tamanna to sitamgar aaya yaar sab jama hue raat ki khaamoshi men koi ro kar to koi baal banaa kar aaya

Ahmad Mushtaq

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Mushtaq.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Mushtaq's ghazal.