chaand us ghar ke dareechon ke barabar aaya dil-e-mushtaqa thehar ja vahii manzar aaya main bahut KHush tha kaddi dhoop ke sannaate men kyun tiri yaad ka baadal mire sar par aaya bujh gaii raunaq-e-parwaana to mehfil chamki so ga.e ahl-e-tamanna to sitamgar aaya yaar sab jama hue raat ki khaamoshi men koi ro kar to koi baal banaa kar aaya
Related Ghazal
aqal ne achchhe achhon ko behkaaya tha shukr hai ham par kuchh vehshat ka saaya tha tum ne apni gardan unchi hi rakkhi varna main to maala lekar aaya tha main ab tak uske hi rang men rangaa hooñ jisne sabse pahle rang lagaaya tha meri raay sabse pahle li jaaye maine sabse pahle dhokha khaaya tha sabko ilm hai phool aur khushboo dono men sabse pahle kisne haath chhudaaya tha ik ladki ne phir mujh...ko behkaaya hai ik ladki ne achchhe se samjhaaya tha
Zubair Ali Tabish
48 likes
kabhi KHud pe kabhi haalaat pe rona aaya baat nikli to har ik baat pe rona aaya ham to samjhe the ki ham bhool ga.e hain un ko kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya kis li.e jeete hain ham kis ke li.e jeete hain baarha aise savaalaat pe rona aaya kaun rota hai kisi aur ki khaatir ai dost sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya
Sahir Ludhianvi
29 likes
khwaab ke hi ham sahaare chal rahe hain zaKHm ko bhi gudgudaate chal rahe hain kya bataayein ab tumhein ham haal apna hijr men kaise deewane chal rahe hain dariyaa ki tanhaaii ka to sochiye saath jiske do kinaare chal rahe hain tumko kya lagta hai tanhaa chal raha hooñ saath mere chaand taare chal rahe hain
Anand Raj Singh
32 likes
lamha dar lamha teri raah taka karti hai ek khidki teri aamad ki dua karti hai ek sofa hai jise teri zaroorat hai bahot ek kursi hai jo mayus raha karti hai salvaten cheeKHtii rahtii hain mire bistar par karvaton men hi mirii raat kata karti hai vaqt tham jaata hai ab raat guzarti hi nahin jaane deewaar ghadi raat men kya karti hai chaand khidki men jo aata tha nahin aata ab teergii chaaro taraf rak's kiya karti hai mire kamre men udaasi hai qayamat ki magar ek tasveer puraani si hansa karti hai
Abbas Qamar
27 likes
baad men mujh se na kehna ghar palatna theek hai vaise sunne men yahii aaya hai rastaa theek hai shaakh se patta gire baarish ruke baadal chatte main hi to sab kuchh galat karta hooñ achha theek hai jehan tak tasleem kar leta hai uski bartree aankh tak tasdeeq kar deti hai banda theek hai ek teri awaaz sunne ke li.e zinda hai ham tu hi jab KHaamosh ho jaa.e to phir kya theek hai
Tehzeeb Hafi
182 likes
More from Ahmad Mushtaq
haath se naapta hooñ dard ki gehraai ko ye naya khel mila hai meri tanhaaii ko tha jo seene men charaagh-e-dil-pur-khun na raha chaatiye baith ke ab sabr o shakebaai ko dil-e-afsurda kisi tarah bahalta hi nahin kya karen aap ki is hausla-afzaai ko KHair badnaam to pahle bhi bahut the lekin tujh se milnaa tha ki par lag ga.e ruswaai ko nigah-e-naaz na milte hue ghabra ham se ham mohabbat nahin kehne ke shanaasaai ko dil hai nairangi-e-ayyaam pe hairaan ab tak itni si baat bhi maaloom nahin bhaai ko
Ahmad Mushtaq
0 likes
khoon-e-dil se kisht-e-gham ko seenchta rehta hooñ main khaali kaaghaz par lakeeren kheenchta rehta hooñ main aaj se mujh par mukammal ho gaya deen-e-firaq haan tasavvur men bhi ab tujh se juda rehta hooñ main tu dayaar-e-husn hai unchi rahe teri faseel main hooñ darwaaza mohabbat ka khula rehta hooñ main shaam tak kheeche li.e firte hain is duniya ke kaam subh tak farsh-e-nadaamat par pada rehta hooñ main haan kabhi mujh par bhi ho jaata hai mausam ka asar haan kisi din shaaki-e-aab-o-hawaa rehta hooñ main ahl-e-duniya se ta'alluq qat'a hota hi nahin bhool jaane par bhi soorat-aashna rehta hooñ main
Ahmad Mushtaq
0 likes
ye kaun KHvaab men choo kar chala gaya mire lab pukaarta hooñ to dete nahin sadaa mire lab ye aur baat kisi ke labon talak na ga.e magar qareeb se guzre hain baar-ha mire lab ab us ki shakl bhi mushkil se yaad aati hai vo jis ke naam se hote na the juda mire lab ab ek umar se guft-o-shunid bhi to nahin hain be-naseeb mire kaan be-nava mire lab ye shaakhsaana-e-wahm-o-gumaan tha shaayad kuja vo samraa-e-baagh-e-talb kuja mire lab
Ahmad Mushtaq
1 likes
ab na bahl sakega dil ab na diye jalaaie ishq-o-hawas hain sab fareb aap se kya chhupaie us ne kaha ki yaad hain rang tulu-e-ishq ke main ne kaha ki chhodije ab unhen bhool jaaie kaise nafees the makaan saaf tha kitna aasmaañ main ne kaha ki vo samaan aaj kahaan se laiye kuchh to suraagh mil sake mausam-e-dard-e-hijr ka sang-e-jamaal-e-yaar par naqsh koi banaaiye koi sharar nahin bacha pichhle baras ki raakh men ham-nafsaan-e-sho'la-khoo aag nayi jalaaie
Ahmad Mushtaq
0 likes
kahaan ki goonj dil-e-na-tawan men rahtii hai ki tharthari si ajab jism-o-jaan men rahtii hai qadam qadam pe vahii chashm o lab vahii gesu tamaam umr nazar imtihaan men rahtii hai mazaa to ye hai ki vo KHud to hai naye ghar men aur us ki yaad purane makaan men rahtii hai pata to fasl-e-gul-o-laala ka nahin maaloom suna hai qurb-o-jawar-e-khizaan men rahtii hai main kitna vaham karoon lekin ik shua-e-yaqeen kahii nawaah-e-dil-e-bad-gumaan men rahtii hai hazaar jaan khapata rahoon magar phir bhi kamii si kuchh mire tarz-e-bayaan men rahtii hai
Ahmad Mushtaq
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Mushtaq.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Mushtaq's ghazal.







