ye kaun KHvaab men choo kar chala gaya mire lab pukaarta hooñ to dete nahin sadaa mire lab ye aur baat kisi ke labon talak na ga.e magar qareeb se guzre hain baar-ha mire lab ab us ki shakl bhi mushkil se yaad aati hai vo jis ke naam se hote na the juda mire lab ab ek umar se guft-o-shunid bhi to nahin hain be-naseeb mire kaan be-nava mire lab ye shaakhsaana-e-wahm-o-gumaan tha shaayad kuja vo samraa-e-baagh-e-talb kuja mire lab
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
More from Ahmad Mushtaq
khoon-e-dil se kisht-e-gham ko seenchta rehta hooñ main khaali kaaghaz par lakeeren kheenchta rehta hooñ main aaj se mujh par mukammal ho gaya deen-e-firaq haan tasavvur men bhi ab tujh se juda rehta hooñ main tu dayaar-e-husn hai unchi rahe teri faseel main hooñ darwaaza mohabbat ka khula rehta hooñ main shaam tak kheeche li.e firte hain is duniya ke kaam subh tak farsh-e-nadaamat par pada rehta hooñ main haan kabhi mujh par bhi ho jaata hai mausam ka asar haan kisi din shaaki-e-aab-o-hawaa rehta hooñ main ahl-e-duniya se ta'alluq qat'a hota hi nahin bhool jaane par bhi soorat-aashna rehta hooñ main
Ahmad Mushtaq
0 likes
kis jhut-pute ke rang ujaalon men aa ga.e tukde shafaq ke dhoop se gaalon men aa ga.e afsurdagi ki lay bhi tire qahqahon men thii patjhad ke sur bahaar ke jhaalon men aa ga.e ud kar kahaan kahaan se parindon ke qafile na-deeda paaniyon ke khayaalon men aa ga.e husn-e-tamaam the to koi dekhta na tha tum dard ban ke dekhne waalon men aa ga.e kaañte samajh ke ghaas pe chaltaa raha hooñ main qatre tamaam os ke chhaalon men aa ga.e kuchh rat-jage the jin ki zaroorat nahin rahi kuchh KHvaab the jo mere khayaalon men aa ga.e
Ahmad Mushtaq
0 likes
haath se naapta hooñ dard ki gehraai ko ye naya khel mila hai meri tanhaaii ko tha jo seene men charaagh-e-dil-pur-khun na raha chaatiye baith ke ab sabr o shakebaai ko dil-e-afsurda kisi tarah bahalta hi nahin kya karen aap ki is hausla-afzaai ko KHair badnaam to pahle bhi bahut the lekin tujh se milnaa tha ki par lag ga.e ruswaai ko nigah-e-naaz na milte hue ghabra ham se ham mohabbat nahin kehne ke shanaasaai ko dil hai nairangi-e-ayyaam pe hairaan ab tak itni si baat bhi maaloom nahin bhaai ko
Ahmad Mushtaq
0 likes
ye tanhaa raat ye gahri fazaayen use dhunden ki us ko bhool jaayen khayaalon ki ghani KHaamoshiyon men ghuli jaati hain lafzon ki sadaaein ye raaste raharvon se bhaagte hain yahaañ chhup chhup ke chalti hain hawaaein ye paani KHaamushi se bah raha hai ise dekhen ki is men doob jaayen jo gham jalte hain she'r'on ki chitaa men unhen phir apne seene se lagaayen chalo aisa makaan aabaad kar len jahaan logon ki aawaazen na aayen ye paani KHaamushi se bah raha hai ise dekhen ki is men doob jaayen jo gham jalte hain she'r'on ki chitaa men unhen phir apne seene se lagaayen chalo aisa makaan aabaad kar len jahaan logon ki aawaazen na aayen
Ahmad Mushtaq
1 likes
chaand us ghar ke dareechon ke barabar aaya dil-e-mushtaqa thehar ja vahii manzar aaya main bahut KHush tha kaddi dhoop ke sannaate men kyun tiri yaad ka baadal mire sar par aaya bujh gaii raunaq-e-parwaana to mehfil chamki so ga.e ahl-e-tamanna to sitamgar aaya yaar sab jama hue raat ki khaamoshi men koi ro kar to koi baal banaa kar aaya
Ahmad Mushtaq
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Mushtaq.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Mushtaq's ghazal.







