ghazalKuch Alfaaz

kisi ne haal jo poocha kabhi mohabbat se lipt ke roya bahut der us se shiddat se hamaara saath jo chhoota to is men hairat kya hamaare haath to chhoote hue the muddat se ye aur baat ki beenaai ja chuki meri tumhaare KHvaab rakhe hain magar hifazat se jab us ne bheed men mujh ko gale lagaaya tha har ek aankh mujhe tak rahi thii hairat se ye kaarobaar-e-siyaasat bahut hi achha hai bas aap jhooth ko becho badi sadaqat se

Yasir Khan4 Likes

Related Ghazal

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai

Jaun Elia

113 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

yahaañ tum dekhna rutba hamaara hamaari ret hai dariyaa hamaara kisi se kal pitaaji kah rahe the muhabbat kha gaii ladka hamaara ta'alluq khatm karne ja rahi hai kahii girwa na de bachcha hamaara

Kushal Dauneria

67 likes

More from Yasir Khan

tumhaare kaam agar aa.e muskuraane men to koi harj nahin mere toot jaane men farokht ho gaii har shay jo dil makaan men thii main itnaa kharch hua hooñ use kamaane men main apni jaan se jaaunga hai ye sach lekin use bhi zakham to aayenge aazmaane men vo ek lafz-e-mohabbat na bin sakaa mujh se hazaar baar mita hooñ jise banaane men tumhein to sirf khabar hai charaaghh jalne ki hamaare haath jale hain use jalane men tumhaare vasl ki masti thii aur may-khaana sharaab le ke gaya tha sharaab-khaane men imaarton men mohabbat ka devta hai vo hamaare haath kate hain jise banaane men

Yasir Khan

8 likes

aankhoñ ko kuchh KHvaab dikha kar maanenge aap hamaare hosh uda kar maanenge lagta hai ye paani bechne waale log har bastii men aag laga kar maanenge tujh ko choone ki chaahat men deewane shaayad apne haath jala kar maanenge tay to ye tha pichhli baatein bhoolnee hain aap magar sab yaad dila kar maanenge ghar ka jhagda gar baahar aa jaayega baahar waale andar aa kar maanenge chahe phir awaaz chali jaa.e lekin ham us ko awaaz laga kar maanenge ghar pakka karne ki baatein karte hain ya'ni vo deewaar utha kar maanenge

Yasir Khan

13 likes

ishq se jaam se barsaat se dar lagta hai yaar tum kya ho ki har baat se dar lagta hai ishq hai ishq koi khel nahin bacchon ka vo chala jaa.e jise maat se dar lagta hai main tire husn ka shaidai nahin ho saka roz bantti hui khairaat se dar lagta hai ham ne haalaat badlne ki dua maangi thii ab badalte hue haalaat se dar lagta hai dil to karta hai ki baarish men nahaaye'n yaasir ghar jo kaccha ho to barsaat se dar lagta hai

Yasir Khan

15 likes

mirii cheekh'on se kamra bhar gaya tha koi kal raat mujh men mar gaya tha bahut mushkil hai us ka laut aanaa vo poori baat kab sun kar gaya tha mujhe pahchaanta bhi hai koi ab main bas ye dekhne hi ghar gaya tha zam aanaa jis ko dariyaa kah raha hai hamaari aankh se bah kar gaya tha kaii sadiyon se sookha pad raha hai yahaañ ik shaKHs pyaasa mar gaya tha hamaara bojh tha sar par hamaare tumhaare saath to naukar gaya tha ye mat samjha KHataa kis se hui thii bataa ilzaam kis ke sar gaya tha

Yasir Khan

7 likes

jinko maaloom nahin hogaa dua ka matlab vo ha men KHaak bataaenge KHuda ka matlab vo ye kahte hain mohabbat men saza paoge aur main khoob samajhta hooñ saza ka matlab yaanii kaanton se main KHushboo ke maani poochoon yaanii ab aap bataaenge vafaa ka matlab

Yasir Khan

21 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Yasir Khan.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Yasir Khan's ghazal.