ghazalKuch Alfaaz

koi hindu koi muslim koi isai hai sab ne insan na banne ki qasam khaai hai itni khun-khar na thiin pahle ibadat-gahen ye aqide hain ki insan ki tanhai hai tiin chauthai se zaaid hain jo abadi men un ke hi vaste har bhuuk hai mahngai hai dekhe kab talak baaqi rahe saj-dhaj us ki aaj jis chehra se tasvir utarvai hai ab nazar aata nahin kuchh bhi dukanon ke siva ab na badal hain na chidiyan hain na purvai hai koi hindu koi muslim koi isai hai sab ne insan na banne ki qasam khai hai itni khun-khar na thin pahle ibaadat-gahen ye aqide hain ki insan ki tanhai hai tin chauthai se zaid hain jo aabaadi mein un ke hi waste har bhuk hai mahngai hai dekhe kab talak baqi rahe saj-dhaj us ki aaj jis chehra se taswir utarwai hai ab nazar aata nahin kuchh bhi dukanon ke siwa ab na baadal hain na chidiyan hain na purwai hai

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

More from Nida Fazli

jise dekhte hi khumaari lage use umr saari hamaari lage ujaala sa hai us ke chaaron taraf vo naazuk badan paanv bhari lage vo sasuraal se aayi hai maike use jitna dekho vo pyaari lage haseen sooraten aur bhi hain magar vo sab saikron men hazaari lage chalo is tarah se sajaayein use ye duniya hamaari tumhaari lage use dekhna sher-goi ka fan use sochna deen-daari lage

Nida Fazli

1 likes

koi kisi ki taraf hai koi kisi ki taraf kahaan hai shahar men ab koi zindagi ki taraf sabhi ki nazaron men ghaaeb tha jo vo haazir tha kisi ne ruk ke nahin dekha aadmi ki taraf tamaam shahar ki shamaein usii se raushan theen kabhi ujaala bahut tha kisi gali ki taraf kahii ki bhook ho har khet us ka apna hai kahii ki pyaas ho jaayegi vo na dii ki taraf na nikle KHair se allaama qaul se baahar yagaana toot ga.e jab chale khu dii ki taraf

Nida Fazli

0 likes

raakshas tha na KHuda tha pahle aadmi kitna badaa tha pahle aasmaañ khet samundar sab laal KHoon kaaghaz pe ugaa tha pahle main vo maqtool jo qaateel na banaa haath meraa bhi utha tha pahle ab kisi se bhi shikaayat na rahi jaane kis kis se gilaa tha pahle shahar to baa'd men veeraan hua meraa ghar KHaak hua tha pahle

Nida Fazli

2 likes

girja men mandiron men azaanon men bat gaya hote hi subh aadmi khaanon men bat gaya ik ishq naam ka jo parinda khala men tha utara jo shahar men to dukano men bat gaya pahle talaasha khet phir dariyaa ki khoj ki baaki ka vaqt gehuun ke daano men bat gaya jab tak tha aasmaan men suraj sabhi ka tha phir yuñ hua vo chand makaanon men bat gaya hain taak men shikaari nishaana hain bastiyaan aalam tamaam chand machaanon men bat gaya khabron ne ki musavvari khabren ghazal banii zinda lahu to teer kamaanon men bat gaya

Nida Fazli

1 likes

har ik rastaa andheron men ghira hai mohabbat ik zaroori haadisa hai garjati aandhiyaan zaaeaa hui hain zameen pe toot ke aañsu giraa hai nikal aa.e kidhar manzil ki dhun men yahaañ to raasta hi raasta hai dua ke haath patthar ho ga.e hain KHuda har zehan men toota pada hai tumhaara tajurba shaayad alag ho mujhe to ilm ne bhatka diya hai

Nida Fazli

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nida Fazli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.