ghazalKuch Alfaaz

kya ho ki meri zindagi se tu nikal sake jis se ki mere dard ka pahluu nikal sake darkaar is li.e hai mujhe doosra badanus ki dil-o-dimaagh se KHushboo nikal sake sab apni apni laashon ko mandir men le chalo shaayad KHuda ki aankh se aañsu nikal sake gahri hui jaden to ye shaakhen hari hui paav ja men to ped ke baazu nikal sake main us ke baa'd sirf inheen koshishon men hooñ gardan se us ke naam ka tattoo nikal sake apni hateliyon men ye aañkhen nichod luun mumkin hai tere hijr se chullu nikal sake main chahta hooñ raat men soorj-mukhi khile main chahta hooñ din men bhi jugnoo nikal sake

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

More from Kushal Dauneria

husn ik gulsitaan ka maali hai aankh shahtoot badan daali hai maine kuchh der udaasi hañs kar maari hai maar nahin daali hai saaj-o-shringaar se chamkaaya badan ek hi note vo bhi jaali hai

Kushal Dauneria

24 likes

jis shaam us..ko train men baitha ke aaya tha main us..ko uske pyaar se milva ke aaya tha uski basi basaai main duniya ujaad kar jo kha nahin sakaa use faila ke aaya tha mere naseeb men kahii baitha tumhaara dukh lagta tha jaise maa ki qasam kha ke aaya tha

Kushal Dauneria

26 likes

bachi hai raushni jo bhi charaaghon se nikal jaa.e jo mere dil se niklaa hai duaon se nikal jaa.e ham aise log jo dushman ke rone par thehar jaayen vo aisa shaKHs jo apnon ki laashon se nikal jaa.e padaane ka agar matlab hai haathon se nikal jaana khudaaya phir mirii beti bhi haathon se nikal jaa.e vahii ik shaKHs tha meraa yahaañ par jee lagaane ko usii ko chahte the sab ki gaav se nikal jaa.e idhar to choo rahi hai jism meraa thande haathon se udhar vo chahti hai raat baaton se nikal jaa.e numaish baap ki daulat ki kar ke sochta tha main ki shaayad imtihaan-e-ishq paison se nikal jaa.e

Kushal Dauneria

25 likes

koi haseen to koi dardnaak samjhega meraa mijaaz vahii theek thaak samjhega main jis ke saath kaii raaton se hoon us ka naam bataa to doonga magar tu mazaak samjhega vo jis hisaab se gaata hai us se lagta hai ki mere dukh ko to bas bee praak samjhega

Kushal Dauneria

36 likes

aa.e din mujhse KHafaa rehta hai dil ko ik dar sa laga rehta hai saara din pyaar karega mujhse jaise tu ghar pe badaa rehta hai sabse kahti hai tumhaara shayar mere pahluu men pada rehta hai ishq vo khel hai jis men har vaqt jaan ka khatra banaa rehta hai

Kushal Dauneria

22 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kushal Dauneria.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kushal Dauneria's ghazal.