labon par yunhi si hansi bhej de mujhe meri pahli khushi bhej de andhera hai kaise tira khat padhun lifafe men kuchh raushni bhej de main pyasa huun khali kuaan hai to kya surahi liye ik pari bhej de bahut nek bande hain ab bhi tire kisi par to ya-rab vahi bhej de kahin kho na jaae qayamat ka din ye achchha samay hai abhi bhej de labon par yunhi si hansi bhej de mujhe meri pahli khushi bhej de andhera hai kaise tera khat padhun lifafe mein kuchh raushni bhej de main pyasa hun khali kuan hai to kya surahi liye ek pari bhej de bahut nek bande hain ab bhi tere kisi par to ya-rab wahi bhej de kahin kho na jae qayamat ka din ye achchha samay hai abhi bhej de
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
More from Mohammad Alvi
dhoop ne guzarish ki ek boond baarish ki lo gale pade kaañte kyun gulon ki KHvaahish ki jagmaga uthe taare baat thii numaish ki ik patinga ujrat thii chipkili ki jumbish ki ham tavakko rakhte hain aur vo bhi bakshish ki lutf aa gaya alvee waah khoob koshish ki
Mohammad Alvi
3 likes
din ik ke baa'd ek guzarte hue bhi dekh ik din tu apne aap ko marte hue bhi dekh har vaqt khilte phool ki jaanib taka na kar murjha ke pattiyon ko bikharte hue bhi dekh haan dekh barf girti hui baal baal par tapte hue khayal thithurte hue bhi dekh apnon men rah ke kis li.e sehama hua hai tu aa mujh ko dushmanon se na darte hue bhi dekh paivand baadlon ke lage dekh jaa-ba-jaa bagalon ko aasmaan katarte hue bhi dekh hairaan mat ho tairti machhlii ko dekh kar paani men raushni ko utarte hue bhi dekh us ko khabar nahin hai abhii apne husn ki aaina de ke bante-sanwarte hue bhi dekh dekha na hogaa tu ne magar intizaar men chalte hue samay ko theharte hue bhi dekh taa'riif sun ke dost se alvee tu KHush na hous ko tiri buraiyaan karte hue bhi dekh
Mohammad Alvi
5 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mohammad Alvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Mohammad Alvi's ghazal.







