ghazalKuch Alfaaz

lahu na ho to qalam tarjumaan nahin hota hamaare daur men aañsu zabaan nahin hota jahaan rahega wahin raushni lutaayega kisi charaaghh ka apna makaan nahin hota ye kis maqaam pe laai hai mirii tanhaaii ki mujh se aaj koi bad-gumaan nahin hota bas ik nigaah mirii raah dekhti hoti ye saara shahar mira mezbaan nahin hota tira khayal na hota to kaun samjhaata zameen na ho to koi aasmaañ nahin hota main us ko bhool gaya hooñ ye kaun maanega kisi charaaghh ke bas men dhuaan nahin hota waseem sadiyon ki aankhoñ se dekhiye mujh ko vo lafz hooñ jo kabhi dastaan nahin hota

Related Ghazal

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

More from Waseem Barelvi

tahreer se warna mirii kya ho nahin saka ik tu hai jo lafzon men ada ho nahin saka aankhoñ men khayaalaat men saanson men basa hai chahe bhi to mujh se vo juda ho nahin saka jeena hai to ye jabr bhi sahna hi padega qatra hooñ samundar se KHafaa ho nahin saka gumraah ki.e honge kaii phool se jazbe aise to koi raah-numa ho nahin saka qad meraa badhaane ka use kaam mila hai jo apne hi pairo'n pe khada ho nahin saka ai pyaar tire hisse men aaya tiri qismat vo dard jo chehron se ada ho nahin saka

Waseem Barelvi

1 likes

kya bataaun kaisa KHud ko dar-b-dar main ne kiya umr-bhar kis kis ke hisse ka safar main ne kiya tu to nafrat bhi na kar paayega is shiddat ke saath jis bala ka pyaar tujh se be-KHabar main ne kiya kaise bacchon ko bataaun raaston ke pech-o-kham zindagi-bhar to kitaabon ka safar main ne kiya kis ko furqat thii ki batlaata tujhe itni si baat KHud se kya bartaav tujh se chhoot kar main ne kiya chand jazbaati se rishton ke bachaane ko waseem kaisa kaisa jabr apne aap par main ne kiya

Waseem Barelvi

5 likes

bhala ghamon se kahaan haar jaane waale the ham aañsuon kii tarah muskuraane waale the humeen ne kar diya ailaan-e-gumrahi warna hamaare peechhe bahut log aane waale the unhen to KHaak men milnaa hi tha ki mere the ye ashk kaun se unche gharaane waale the unhen qareeb na hone diya kabhi main ne jo dosti men hadein bhool jaane waale the main jin ko jaan ke pahchaan bhi nahin saktaa kuchh aise log mira ghar jalane waale the hamaara almeya ye tha ki hum-safar bhi ha men vahii mile jo bahut yaad aane waale the waseem kaisi taalluq kii raah thii jis men vahii mile jo bahut dil dukhaane waale the

Waseem Barelvi

5 likes

apne saa.e ko itnaa samjhaane de mujh tak mere hisse ki dhoop aane de ek nazar men kaii zamaane dekhe to boodhi aankhoñ ki tasveer banaane de baba duniya jeet ke main dikhla dooñga apni nazar se door to mujh ko jaane de main bhi to is baagh ka ek parinda hooñ meri hi awaaz men mujh ko gaane de phir to ye ooncha hi hota jaayega bachpan ke haathon men chaand aa jaane de faslen pak jaayen to khet se bichhdenge roti aankh ko pyaar kahaan samjhaane de

Waseem Barelvi

7 likes

nahin ki apna zamaana bhi to nahin aaya ha men kisi se nibhaana bhi to nahin aaya jala ke rakh liya haathon ke saath daaman tak tumhein charaaghh bujhaana bhi to nahin aaya naye makaan banaaye to faaslon ki tarah ha men ye shahar basaana bhi to nahin aaya vo poochta tha mirii aankh bheegne ka sabab mujhe bahaana banaana bhi to nahin aaya waseem dekhna mud mud ke vo usii ki taraf kisi ko chhod ke jaana bhi to nahin aaya

Waseem Barelvi

4 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Waseem Barelvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Waseem Barelvi's ghazal.