ghazalKuch Alfaaz

lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota hamare daur men aansu zaban nahin hota jahan rahega vahin raushni lutaega kisi charaghh ka apna makan nahin hota ye kis maqam pe laai hai meri tanhai ki mujh se aaj koi bad-guman nahin hota bas ik nigah miri raah dekhti hoti ye saara shahr mira mezban nahin hota tira khayal na hota to kaun samjhata zamin na ho to koi asman nahin hota main us ko bhuul gaya huun ye kaun manega kisi charaghh ke bas men dhuan nahin hota 'vasim' sadiyon ki ankhon se dekhiye mujh ko vo lafz huun jo kabhi dastan nahin hota lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota hamare daur mein aansu zaban nahin hota jahan rahega wahin raushni lutaega kisi charagh ka apna makan nahin hota ye kis maqam pe lai hai meri tanhai ki mujh se aaj koi bad-guman nahin hota bas ek nigah meri rah dekhti hoti ye sara shahr mera mezban nahin hota tera khayal na hota to kaun samjhata zamin na ho to koi aasman nahin hota main us ko bhul gaya hun ye kaun manega kisi charagh ke bas mein dhuan nahin hota 'wasim' sadiyon ki aankhon se dekhiye mujh ko wo lafz hun jo kabhi dastan nahin hota

Related Ghazal

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

More from Waseem Barelvi

apne saa.e ko itnaa samjhaane de mujh tak mere hisse ki dhoop aane de ek nazar men kaii zamaane dekhe to boodhi aankhoñ ki tasveer banaane de baba duniya jeet ke main dikhla dooñga apni nazar se door to mujh ko jaane de main bhi to is baagh ka ek parinda hooñ meri hi awaaz men mujh ko gaane de phir to ye ooncha hi hota jaayega bachpan ke haathon men chaand aa jaane de faslen pak jaayen to khet se bichhdenge roti aankh ko pyaar kahaan samjhaane de

Waseem Barelvi

7 likes

vo mujh ko kya bataana chahta hai jo duniya se chhupaana chahta hai mujhe dekho ki main us ko hi chaahoon jise saara zamaana chahta hai qalam karna kahaan hai us ka mansha vo meraa sar jhukaana chahta hai shikaayat ka dhuaan aankhoñ se dil tak ta'alluq toot jaana chahta hai taqaza vaqt ka kuchh bhi ho ye dil vahii qissa puraana chahta hai

Waseem Barelvi

6 likes

kuchh itnaa khauf ka maara hua bhi pyaar na ho vo e'tibaar dilae aur e'tibaar na ho hawa KHilaaf ho maujon pe ikhtiyaar na ho ye kaisi zid hai ki dariyaa kisi se paar na ho main gaav laut raha hooñ bahut dinon ke baad KHuda kare ki use meraa intizaar na ho zaraa si baat pe ghut ghut ke subh kar dena mirii tarah bhi koi meraa gham-gusaar na ho dukhi samaaj men aañsu bhare zamaane men use ye kaun bataaye ki ashk-baar na ho gunaahgaaron pe ungli uthaaye dete ho waseem aaj kahii tum bhi sangsaar na ho

Waseem Barelvi

7 likes

mere gham ko jo apna bataate rahe vaqt padne pe haathon se jaate rahe baarishen aayein aur faisla kar gaiin log tooti chaten aazmaate rahe aañkhen manzar hui kaan naghma hue ghar ke andaaz hi ghar se jaate rahe shaam aayi to bichhde hue hum-safar aañsuon se in aankhoñ men aate rahe nanhe bacchon ne choo bhi liya chaand ko boodhe baba kahaanii sunaate rahe door tak haath men koi patthar na tha phir bhi ham jaane kyun sar bachaate rahe shaayri zahar thii kya karen ai waseem log peete rahe ham pilaate rahe

Waseem Barelvi

10 likes

sirf teraa naam le kar rah gaya aaj deewaana bahut kuchh kah gaya kya mirii taqdeer men manzil nahin fasla kyun muskuraa kar rah gaya zindagi duniya men aisa ashk thii jo zaraa palkon pe thehra bah gaya aur kya tha us ki pursish ka javaab apne hi aañsu chhupa kar rah gaya us se pooch ai kaamyaab-e-zindagi jis ka afsaana adhoora rah gaya haaye kya deewaangi thii ai waseem jo na kehna chahiye tha kah gaya

Waseem Barelvi

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Waseem Barelvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Waseem Barelvi's ghazal.