log kahte hain ki tu ab bhi KHafaa hai mujh se teri aankhoñ ne to kuchh aur kaha hai mujh se haaye us vaqt ko kosoon ki dua doon yaaro jis ne har dard mira cheen liya hai mujh se dil ka ye haal ki dhadhke hi chala jaata hai aisa lagta hai koi jurm hua hai mujh se kho gaya aaj kahaan rizq ka dene vaala koi roti jo khada maang raha hai mujh se ab mire qatl ki tadbeer to karne hogii kaun sa raaz hai teraa jo chhupa hai mujh se
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
More from Jaan Nisar Akhtar
tamaam umr azaabon ka silsila to raha ye kam nahin ha men jeene ka hausla to raha guzar hi aa.e kisi tarah tere deewane qadam qadam pe koi sakht marhala to raha chalo na ishq hi jeeta na aql haar saki tamaam vaqt maze ka muqaabla to raha main teri zaat men gum ho sakaa na tu mujh men bahut qareeb the ham phir bhi fasla to raha ye aur baat ki har chhed la-ubaali thii tiri nazar ka dilon se moamala to raha
Jaan Nisar Akhtar
1 likes
zameen hogii kisi qaateel ka daamaan ham na kahte the akaarat jaayega khun-e-shaheedaan ham na kahte the ilaaj-e-chaak-e-pairaahan hua to is tarah hogaa siya jaayega kaanton se garebaan ham na kahte the taraane kuchh diye lafzon men KHud ko qaid kar lenge ajab andaaz se failega zindaan ham na kahte the koi itnaa na hogaa laash bhi le ja ke dafna de inheen sadkon pe mar jaayega insaan ham na kahte the nazar lipti hai sholon men lahu tapta hai aankhoñ men utha hi chahta hai koi toofaan ham na kahte the chhalakte jaam men bheegi hui aañkhen utar aayein sataayegi kisi din yaad-e-yaaraan ham na kahte the nayi tahzeeb kaise lucknow ko raas aayegi ujad jaayega ye sheher-e-ghazaalaan ham na kahte the
Jaan Nisar Akhtar
0 likes
vo log hi har daur men mahboob rahe hain jo ishq men taalib nahin matlab rahe hain toofaan ki awaaz to aati nahin lekin lagta hai safeene se kahii doob rahe hain un ko na pukaaro gham-e-dauraan ke laqab se jo dard kisi naam se mansoob rahe hain ham bhi tiri soorat ke parastaar hain lekin kuchh aur bhi chehre ha men marghoob rahe hain alfaaz men izhaar-e-mohabbat ke tariqe KHud ishq ki nazaron men bhi maayub rahe hain is ahad-e-baseerat men bhi naqqaad hamaare har ek bade naam se mar'oub rahe hain itnaa bhi na ghabraao nayi tarz-e-ada se har daur men badle hue usloob rahe hain
Jaan Nisar Akhtar
0 likes
har ek shaKHs pareshaan-o-dar-badar sa lage ye shahar mujh ko to yaaro koi bhanwar sa lage ab us ke tarz-e-tajaahul ko kya kahe koi vo be-KHabar to nahin phir bhi be-KHabar sa lage har ek gham ko khushi ki tarah bartana hai ye daur vo hai ki jeena bhi ik hunar sa lage nashaat-e-sohbat-e-rindaan bahut ghaneemat hai ki lamha lamha pur-aashob-o-pur-khatr sa lage kise khabar hai ki duniya ka hashr kya hogaa kabhi kabhi to mujhe aadmi se dar sa lage vo tund vaqt ki rau hai ki paanv tik na saken har aadmi koi ukhadta hua shajar sa lage jahaan-e-nau ke mukammal singaar ki khaatir sadi sadi ka zamaana bhi mukhtasar sa lage
Jaan Nisar Akhtar
0 likes
zaraa si baat pe har rasm tod aaya tha dil-e-tabah ne bhi kya mizaaj paaya tha guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah abhii to main use pahchaan bhi na paaya tha muaaf kar na saki meri zindagi mujh ko vo ek lamha ki main tujh se tang aaya tha shagufta phool simat kar kali bane jaise kuchh is kamaal se tu ne badan churaaya tha pata nahin ki mire baad un pe kya guzri main chand KHvaab zamaane men chhod aaya tha
Jaan Nisar Akhtar
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jaan Nisar Akhtar.
Similar Moods
More moods that pair well with Jaan Nisar Akhtar's ghazal.







