mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae dekhte hi dekhte ham kya se kya hote gae na-shanasi dahr ki tanha hamen karti gai hote hote ham zamane se juda hote gae muntazir jaise the dar shahr-e-firaq-asar ke ik zara dastak hui dar dam men va hote gae harf parda-posh the izhare-e-dil ke baab men harf jitne shahr men the harf-e-la hote gae vaqt kis tezi se guzra roz-marra men 'munir' aaj kal hota gaya aur din hava hote gae mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae dekhte hi dekhte hum kya se kya hote gae na-shanasi dahr ki tanha hamein karti gai hote hote hum zamane se juda hote gae muntazir jaise the dar shahr-e-firaq-asar ke ek zara dastak hui dar dam mein wa hote gae harf parda-posh the izhaare-e-dil ke bab mein harf jitne shahr mein the harf-e-la hote gae waqt kis tezi se guzra roz-marra mein 'munir' aaj kal hota gaya aur din hawa hote gae
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
70 likes
More from Muneer Niyazi
be-khayaali men yoon hi bas ik iraada kar liya apne dil ke shauq ko had se ziyaada kar liya jaante the dono ham us ko nibha sakte nahinus ne vaa'da kar liya maine bhi vaa'da kar liya gair se nafrat jo pa li kharch KHud par ho gaii jitne ham the ham ne KHud ko us se aadha kar liya shaam ke rangon men rakh kar saaf paani ka gilaas aab-e-saada ko hareef-e-rang-e-baada kar liya hijraton ka khauf tha ya pur-kashish kohna maqaam kya tha jis ko ham ne KHud deewar-e-jaada kar liya ek aisa shaKHs banta ja raha hooñ main muneer jis ne KHud par band husn o jaam o baada kar liya
Muneer Niyazi
6 likes
hañsi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya ye ik jhalak ka tamasha jigar jala bhi gaya utha to ja bhi chuka tha ajeeb mehmaantha sadaaende ke mujhe neend se jaga bhi gaya ghazab hua jo andhere men jal u thii bijli badan kisi ka tilismaat kuchh dikha bhi gaya hawa thii gahri ghatta thii hina ki KHushboo thii ye ek raat ka qissa lahu rula bhi gaya chalo muneer chalen ab yahaanrahen bhi to kya vo sang-dil to yahaan se kahii chala bhi gaya
Muneer Niyazi
4 likes
zinda rahen to kya hai jo mar jaayen ham to kya duniya se KHaamushi se guzar jaayen ham to kya hasti hi apni kya hai zamaane ke saamne ik KHvaab hain jahaan men bikhar jaayen ham to kya ab kaun muntazir hai hamaare li.e vahaañ shaam aa gaii hai laut ke ghar jaayen ham to kya dil ki khalish to saath rahegi tamaam umr dariya-e-gham ke paar utar jaayen ham to kya
Muneer Niyazi
9 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Muneer Niyazi.
Similar Moods
More moods that pair well with Muneer Niyazi's ghazal.







