ghazalKuch Alfaaz

main chahta hooñ ki dil men tira khayal na ho ajab nahin ki mirii zindagi vabaal na ho main chahta hooñ tu yak-dam hi chhod jaa.e mujhe ye har ghadi tire jaane ka ehtimaal na ho main chahta hooñ mohabbat pe ab ki baar aa.e zawaal aisa ki jis ko kabhi zawaal na ho main chahta hooñ mohabbat sire se mit jaa.e main chahta hooñ use sochna muhaal na ho main chahta hooñ mohabbat mujhe fana kar de fana bhi aisa ki jis ki koi misaal na ho main chahta hooñ mohabbat mira vo haal kare ki KHvaab men bhi dobara kabhi majaal na ho main chahta hooñ ki itnaa hi rabt rah jaa.e vo yaad aa.e magar bhoolna muhaal na ho main chahta hooñ mirii aañkhen noch li jaayen tira khayal kisi taur paayemaal na ho main chahta hooñ ki main zakham zakham ho jaaun aur is tarah ki kabhi khauf-e-indimaal na ho mirii misaal ho sab ki nigaah men javvaad main chahta hooñ kisi aur ka ye haal na ho

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

More from Jawwad Sheikh

gham-e-jahaan se main ukta gaya to kya hogaa KHud apni fikr men ghulne laga to kya hogaa ye na-guzeer hai ummeed ki numoo ke li.e guzarta vaqt kahii tham gaya to kya hogaa yahii bahut hai ki ham ko sukoon se jeene de kisi ke haathon hamaara bhala to kya hogaa ye log meri KHamoshii pe mujh se naalaan hain koi ye pooche main goya hua to kya hogaa main is li.e bhi bahut mukhtalif hooñ logon se vo sochte hain ki aisa hua to kya hogaa junoon ki raah ajab hai ki paanv dharne ko zameen tak bhi nahin naqsh-e-paa to kya hogaa ye ek khauf bhi meri khushi men shaamil hai tira bhi dhyaan agar hat gaya to kya hogaa jo ho raha hai vo hota chala gaya to phir jo hone ko hai vahii ho gaya to kya hogaa

Jawwad Sheikh

9 likes

nahin aisa bhi ki yaksar nahin rahne vaala dil men ye shor barabar nahin rahne vaala jis tarah KHaamushi lafzon men dhali jaati hai is men taaseer ka unsur nahin rahne vaala ab ye kis shakl men zaahir ho KHuda hi jaane ranj aisa hai ki andar nahin rahne vaala main use chhodna chaahoon bhi to kaise chhodun vo kisi aur ka ho kar nahin rahne vaala ghaur se dekh un aankhoñ men nazar aata hai vo samundar jo samundar nahin rahne vaala jurm vo karne ka socha hai ki bas ab ki baar koi ilzaam mire sar nahin rahne vaala main ne haalaanki bahut vaqt guzaara hai yahaañ ab main is shahar men pal bhar nahin rahne vaala maslahat lafz pe do harf na bhejoon javvaad jab mire saath muqaddar nahin rahne vaala

Jawwad Sheikh

15 likes

sab ko bachao KHud bhi bacho fasla rakho ab aur kuchh karo na karo fasla rakho khatra to muft men bhi nahin lena chahiye ghar se nikal ke mol na lo fasla rakho filhaal is se bachne ka hai ek raasta vo ye ki is se bach ke raho fasla rakho dushman hai aur tarah ka jang aur tarah ki aage badho na peeche hato fasla rakho

Jawwad Sheikh

7 likes

dar-guzar jitna kiya hai vahii kaafi hai mujhe ab tujhe qatl bhi kar doon to muaafi hai mujhe mas'ala aise koi hal to na hogaa shaayad she'r kehna hi mire gham ki talaafi hai mujhe dafatan ik naye ehsaas ne chauka sa diya main to samjha tha ki har saans izafi hai mujhe main na kahtaa tha dawaayein nahin kaam aayengi jaanta tha tiri awaaz hi shaafi hai mujhe is se andaaza lagao ki main kis haal men hooñ gair ka dhyaan bhi ab va'da-khilaafi hai mujhe vo kahii saamne aa jaa.e to kya ho javvaad yaad hi us ki agar seena-shigaafi hai mujhe

Jawwad Sheikh

28 likes

jo bhi jeene ke silsile ki.e the ham ne bas aap ke li.e ki.e the tab kahii ja ke apni marzi ki pahle apnon se mashware ki.e the kabhi us ki nigah muyassar thii kaise kaise mushaahide ki.e the aql kuchh aur kar ke baith rahi ishq ne aur faisley ki.e the baat ham ne sooni hui sooni thii kaam us ne ki.e hue ki.e the use bhi ek khat likha gaya tha apne aage bhi aaine ki.e the yahaañ kuchh bhi nahin hai mere li.e tu ne kya kya mubaalga ki.e the awwal aane ka shauq tha lekin kaam saare hi doosre ki.e the badi mushkil thii vo ghadi javvaad ham ne kab aise faisley ki.e the

Jawwad Sheikh

14 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jawwad Sheikh.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jawwad Sheikh's ghazal.