ghazalKuch Alfaaz

main dhundta huun jise vo jahan nahin milta nai zamin naya asman nahin milta nai zamin naya asman bhi mil jaae nae bashar ka kahin kuchh nishan nahin milta vo teghh mil gai jis se hua hai qatl mira kisi ke haath ka us par nishan nahin milta vo mera gaanv hai vo mere gaanv ke chulhe ki jin men shole to shole dhuan nahin milta jo ik khuda nahin milta to itna matam kyuun yahan to koi mira ham-zaban nahin milta khada huun kab se main chehron ke ek jangal men tumhare chehre ka kuchh bhi yahan nahin milta main dhundta hun jise wo jahan nahin milta nai zamin naya aasman nahin milta nai zamin naya aasman bhi mil jae nae bashar ka kahin kuchh nishan nahin milta wo tegh mil gai jis se hua hai qatl mera kisi ke hath ka us par nishan nahin milta wo mera ganw hai wo mere ganw ke chulhe ki jin mein shole to shole dhuan nahin milta jo ek khuda nahin milta to itna matam kyun yahan to koi mera ham-zaban nahin milta khada hun kab se main chehron ke ek jangal mein tumhaare chehre ka kuchh bhi yahan nahin milta

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

More from Kaifi Azmi

jo vo mire na rahe main bhi kab kisi ka raha bichhad ke un se saleeqa na zindagi ka raha labon se ud gaya jugnoo ki tarah naam us ka sahaara ab mire ghar men na raushni ka raha guzarne ko to hazaaron hi qafile guzre zameen pe naqsh-e-qadam bas kisi kisi ka raha

Kaifi Azmi

4 likes

khaar-o-khas to uthe raasta to chale main agar thak gaya qaafila to chale chaand suraj buzurgon ke naqsh-e-qadam KHair bujhne do un ko hawa to chale haakim-e-shahr ye bhi koi shahar hai masjidein band hain may-kada to chale us ko mazhab kaho ya siyaasat kaho KHud-kushi ka hunar tum sikha to chale itni laashen main kaise utha paaooñga aap eenton ki hurmat bacha to chale belche laao kholo zameen ki taheen main kahaan dafn hooñ kuchh pata to chale

Kaifi Azmi

0 likes

patthar ke KHuda vahaañ bhi paa.e ham chaand se aaj laut aa.e deewarein to har taraf khadi hain kya ho ga.e mehrbaan s aa.e jungle ki hawaaein aa rahi hain kaaghaz ka ye shahar ud na jaa.e leila ne naya janam liya hai hai qais koi jo dil lag aa.e hai aaj zameen ka ghusl-e-sehhat jis dil men ho jitna KHoon l aa.e sehra sehra lahu ke khe men phir pyaase lab-e-furaat aa.e

Kaifi Azmi

0 likes

tum itnaa jo muskuraa rahe ho kya gham hai jis ko chhupa rahe ho aankhoñ men nami hañsi labon par kya haal hai kya dikha rahe ho ban jaayenge zahar peete peete ye ashk jo peete ja rahe ho jin zaKHmon ko vaqt bhar chala hai tum kyun unhen chhede ja rahe ho rekhaon ka khel hai muqaddar rekhaon se maat kha rahe ho

Kaifi Azmi

4 likes

laai phir ik lagzish-e-mastaana tere shahar men phir banengi masjidein may-khaana tere shahar men aaj phir tootengi tere ghar ki naazuk khidkiyaan aaj phir dekha gaya deewaana tere shahar men jurm hai teri gali se sar jhuka kar lautna kufr hai pathraav se ghabraana tere shahar men shaah-naa men likkhe hain khandaraat ki har iint par har jagah hai dafn ik afsaana tere shahar men kuchh kaneezen jo hareem-e-naaz men hain baaryaab maangti hain jaan o dil nazraana tere shahar men nangi sadkon par bhatk kar dekh jab marti hai raat rengta hai har taraf veeraana tere shahar men

Kaifi Azmi

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kaifi Azmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kaifi Azmi's ghazal.