ghazalKuch Alfaaz

tum itnaa jo muskuraa rahe ho kya gham hai jis ko chhupa rahe ho aankhoñ men nami hañsi labon par kya haal hai kya dikha rahe ho ban jaayenge zahar peete peete ye ashk jo peete ja rahe ho jin zaKHmon ko vaqt bhar chala hai tum kyun unhen chhede ja rahe ho rekhaon ka khel hai muqaddar rekhaon se maat kha rahe ho

Kaifi Azmi4 Likes

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

More from Kaifi Azmi

laai phir ik lagzish-e-mastaana tere shahar men phir banengi masjidein may-khaana tere shahar men aaj phir tootengi tere ghar ki naazuk khidkiyaan aaj phir dekha gaya deewaana tere shahar men jurm hai teri gali se sar jhuka kar lautna kufr hai pathraav se ghabraana tere shahar men shaah-naa men likkhe hain khandaraat ki har iint par har jagah hai dafn ik afsaana tere shahar men kuchh kaneezen jo hareem-e-naaz men hain baaryaab maangti hain jaan o dil nazraana tere shahar men nangi sadkon par bhatk kar dekh jab marti hai raat rengta hai har taraf veeraana tere shahar men

Kaifi Azmi

0 likes

patthar ke KHuda vahaañ bhi paa.e ham chaand se aaj laut aa.e deewarein to har taraf khadi hain kya ho ga.e mehrbaan s aa.e jungle ki hawaaein aa rahi hain kaaghaz ka ye shahar ud na jaa.e leila ne naya janam liya hai hai qais koi jo dil lag aa.e hai aaj zameen ka ghusl-e-sehhat jis dil men ho jitna KHoon l aa.e sehra sehra lahu ke khe men phir pyaase lab-e-furaat aa.e

Kaifi Azmi

0 likes

khaar-o-khas to uthe raasta to chale main agar thak gaya qaafila to chale chaand suraj buzurgon ke naqsh-e-qadam KHair bujhne do un ko hawa to chale haakim-e-shahr ye bhi koi shahar hai masjidein band hain may-kada to chale us ko mazhab kaho ya siyaasat kaho KHud-kushi ka hunar tum sikha to chale itni laashen main kaise utha paaooñga aap eenton ki hurmat bacha to chale belche laao kholo zameen ki taheen main kahaan dafn hooñ kuchh pata to chale

Kaifi Azmi

0 likes

jo vo mire na rahe main bhi kab kisi ka raha bichhad ke un se saleeqa na zindagi ka raha labon se ud gaya jugnoo ki tarah naam us ka sahaara ab mire ghar men na raushni ka raha guzarne ko to hazaaron hi qafile guzre zameen pe naqsh-e-qadam bas kisi kisi ka raha

Kaifi Azmi

4 likes

ki hai koi haseen KHataa har KHataa ke saath thoda sa pyaar bhi mujhe de do saza ke saath gar doobna hi apna muqaddar hai to suno doobenge ham zaroor magar nakhuda ke saath manzil se vo bhi door tha aur ham bhi door the ham ne bhi dhool udaai bahut rehnuma ke saath raqs-e-saba ke jashn men ham tum bhi naachte ai kaash tum bhi aa ga.e hote saba ke saath ikkeesveen sadi ki taraf ham chale to hain fitne bhi jaag utthe hain aawaaz-e-paa ke saath aisa laga ghareebi ki rekha se hooñ buland poocha kisi ne haal kuchh aisi ada ke saath

Kaifi Azmi

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kaifi Azmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kaifi Azmi's ghazal.