ki hai koi haseen KHataa har KHataa ke saath thoda sa pyaar bhi mujhe de do saza ke saath gar doobna hi apna muqaddar hai to suno doobenge ham zaroor magar nakhuda ke saath manzil se vo bhi door tha aur ham bhi door the ham ne bhi dhool udaai bahut rehnuma ke saath raqs-e-saba ke jashn men ham tum bhi naachte ai kaash tum bhi aa ga.e hote saba ke saath ikkeesveen sadi ki taraf ham chale to hain fitne bhi jaag utthe hain aawaaz-e-paa ke saath aisa laga ghareebi ki rekha se hooñ buland poocha kisi ne haal kuchh aisi ada ke saath
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
More from Kaifi Azmi
laai phir ik lagzish-e-mastaana tere shahar men phir banengi masjidein may-khaana tere shahar men aaj phir tootengi tere ghar ki naazuk khidkiyaan aaj phir dekha gaya deewaana tere shahar men jurm hai teri gali se sar jhuka kar lautna kufr hai pathraav se ghabraana tere shahar men shaah-naa men likkhe hain khandaraat ki har iint par har jagah hai dafn ik afsaana tere shahar men kuchh kaneezen jo hareem-e-naaz men hain baaryaab maangti hain jaan o dil nazraana tere shahar men nangi sadkon par bhatk kar dekh jab marti hai raat rengta hai har taraf veeraana tere shahar men
Kaifi Azmi
0 likes
jo vo mire na rahe main bhi kab kisi ka raha bichhad ke un se saleeqa na zindagi ka raha labon se ud gaya jugnoo ki tarah naam us ka sahaara ab mire ghar men na raushni ka raha guzarne ko to hazaaron hi qafile guzre zameen pe naqsh-e-qadam bas kisi kisi ka raha
Kaifi Azmi
4 likes
khaar-o-khas to uthe raasta to chale main agar thak gaya qaafila to chale chaand suraj buzurgon ke naqsh-e-qadam KHair bujhne do un ko hawa to chale haakim-e-shahr ye bhi koi shahar hai masjidein band hain may-kada to chale us ko mazhab kaho ya siyaasat kaho KHud-kushi ka hunar tum sikha to chale itni laashen main kaise utha paaooñga aap eenton ki hurmat bacha to chale belche laao kholo zameen ki taheen main kahaan dafn hooñ kuchh pata to chale
Kaifi Azmi
0 likes
tum itnaa jo muskuraa rahe ho kya gham hai jis ko chhupa rahe ho aankhoñ men nami hañsi labon par kya haal hai kya dikha rahe ho ban jaayenge zahar peete peete ye ashk jo peete ja rahe ho jin zaKHmon ko vaqt bhar chala hai tum kyun unhen chhede ja rahe ho rekhaon ka khel hai muqaddar rekhaon se maat kha rahe ho
Kaifi Azmi
4 likes
main dhundhta hooñ jise vo jahaan nahin milta nayi zameen naya aasmaañ nahin milta nayi zameen naya aasmaañ bhi mil jaa.e naye bashar ka kahii kuchh nishaan nahin milta vo teg mil gaii jis se hua hai qatl miraa kisi ke haath ka us par nishaan nahin milta vo miraa gaav hai vo mere gaav ke choolhe ki jin men shole to shole dhuaan nahin milta jo ik KHuda nahin milta to itnaa maatam kyun yahaañ to koi miraa ham-zabaan nahin milta khada hooñ kab se main chehron ke ek jungle men tumhaare chehre ka kuchh bhi yahaañ nahin milta
Kaifi Azmi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kaifi Azmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Kaifi Azmi's ghazal.







