ghazalKuch Alfaaz

main faqat chalti rahi manzil ko sar us ne kiya saath mere raushni ban kar safar us ne kiya is tarah khinchi hai mere gird divar-e-khabar saare dushman rauzanon ko be-nazar us ne kiya mujh men baste saare sannaton ki lai us se bani pattharon ke darmiyan thi naghhma-gar us ne kiya be-sar-o-saman pe dildari ki chadar daal di be-dar-o-divar thi main mujh ko ghar us ne kiya paniyon men ye bhi paani ek din tahlil tha qatra-e-be-sarfa ko lekin guhar us ne kiya ek maamuli si achchhai tarashi hai bahut aur fikr-e-kham se sarf-e-nazar us ne kiya phir to imkanat phulon ki tarah khulte gae ek nanhe se shagufe ko shajar us ne kiya taaq men rakkhe diye ko pyaar se raushan kiya us diye ko phir charaghh-e-rahguzar us ne kiya main faqat chalti rahi manzil ko sar us ne kiya sath mere raushni ban kar safar us ne kiya is tarah khinchi hai mere gird diwar-e-khabar sare dushman rauzanon ko be-nazar us ne kiya mujh mein baste sare sannaton ki lai us se bani pattharon ke darmiyan thi naghma-gar us ne kiya be-sar-o-saman pe dildari ki chadar dal di be-dar-o-diwar thi main mujh ko ghar us ne kiya paniyon mein ye bhi pani ek din tahlil tha qatra-e-be-sarfa ko lekin guhar us ne kiya ek mamuli si achchhai tarashi hai bahut aur fikr-e-kham se sarf-e-nazar us ne kiya phir to imkanat phulon ki tarah khulte gae ek nanhe se shagufe ko shajar us ne kiya taq mein rakkhe diye ko pyar se raushan kiya us diye ko phir charagh-e-rahguzar us ne kiya

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

Jaun Elia

77 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

More from Parveen Shakir

apni ruswaai tire naam ka charcha dekhooñ ik zaraa she'r kahooñ aur main kya kya dekhooñ neend aa jaa.e to kya mahfilein barpa dekhooñ aankh khul jaa.e to tanhaaii ka sehra dekhooñ shaam bhi ho gaii dhundla gaiin aañkhen bhi mirii bhoolne waale main kab tak tira rastaa dekhooñ ek ik kar ke mujhe chhod gaiin sab sakhiyaan aaj main KHud ko tiri yaad men tanhaa dekhooñ kaash sandal se mirii maang ujaale aa kar itne ghairoon men vahii haath jo apna dekhooñ tu mira kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayaat jaane kyun tere li.e dil ko dhadakna dekhooñ band kar ke mirii aañkhen vo sharaarat se hanse bujhe jaane ka main har roz tamasha dekhooñ sab ziden us ki main poori karoon har baat sunoon ek bacche ki tarah se use hansta dekhooñ mujh pe chha jaa.e vo barsaat ki khushboo ki tarah ang ang apna isee rut men mahakta dekhooñ phool ki tarah mire jism ka har lab khul jaa.e pankhudi pankhudi un honton ka saaya dekhooñ main ne jis lamhe ko pooja hai use bas ik baar KHvaab ban kar tiri aankhoñ men utarta dekhooñ tu mirii tarah se yaktaa hai magar mire habeeb jee men aata hai koi aur bhi tujh sa dekhooñ toot jaayen ki pighal jaayen mire kacche ghade tujh ko main dekhooñ ki ye aag ka dariyaa dekhooñ

Parveen Shakir

2 likes

taraash kar mere baazu udaan chhod gaya hawa ke paas barhana kamaan chhod gaya rafaqaton ka meri us ko dhyaan kitna tha zameen le li magar aasmaan chhod gaya ajeeb shaKHs tha baarish ka rang dekh ke bhi khule dariche pe ik phool-daana chhod gaya jo baadlon se bhi mujh ko chhu paa.e rakhta tha badhi hai dhoop to be-saayebaan chhod gaya nikal gaya kahii an-dekhe paaniyon ki taraf zameen ke naam khula baadbaan chhod gaya uqaab ko thii garz faakhta pakadne se jo gir gaii to yoonhi neem-jaan chhod gaya na jaane kaun sa aaseb dil men basta hai ki jo bhi thehra vo aaKHir makaan chhod gaya aqab men gahra samundar hai saamne jungle kis intiha pe meraa mehrbaan chhod gaya

Parveen Shakir

5 likes

ab itni saadgi laayein kahaan se zameen ki KHair maange aasmaañ se agar chahein to vo deewaar kar den ha men ab kuchh nahin kehna zabaan se sitaara hi nahin jab saath deta to kashtii kaam le kya baadbaan se bhatkne se mile furqat to poochen pata manzil ka meer-e-kaarwaan se tavajjoh barq ki haasil rahi hai so hai azaad fikr-e-aashiyaan se hawa ko raaz-daan ham ne banaya aur ab naaraz KHushboo ke bayaañ se zaroori ho gaii hai dil ki zeenat makeen pahchaane jaate hain makaan se fana-fil-ishq hona chahte the magar furqat na thii kaar-e-jahaan se vagarna fasl-e-gul ki qadr kya thii badi hikmat hai waabasta khizaan se kisi ne baat ki thii hañs ke shaayad zamaane bhar se hain ham KHud gumaan se main ik ik teer pe KHud dhaal banti agar hota vo dushman ki kamaan se jo sabza dekh kar khe men lagaayein unhen takleef kyun pahunchen khizaan se jo apne ped jalte chhod jaayen unhen kya haq ki roothein baagbaan se

Parveen Shakir

0 likes

gawaahi kaise tootti mua'amla KHuda ka tha mira aur us ka raabta to haath aur dua ka tha gulaab qiimat-e-shagufta shaam tak chuka sake ada vo dhoopa ko hua jo qarz bhi saba ka tha bikhar gaya hai pahool to humeen se paooch-gach hui hisaab baagbaan se hai kiya-dhara hawa ka tha lahu-chasheeda haath us ne choom kar dikha diya jazaa vahaañ mili jahaan ki marhala saza ka tha jo baarishon se qabl apana rizq ghar men bhar chuka vo shehr-e-mor se na tha pa doorbeen bala ka tha

Parveen Shakir

2 likes

bichhda hai jo ik baar to milte nahin dekha is zakham ko ham ne kabhi silte nahin dekha ik baar jise chaat gaii dhoop ki KHvaahish phir shaakh pe us phool ko khilte nahin dekha yak-lakht giraa hai to jaden tak nikal aayein jis ped ko aandhi men bhi hilte nahin dekha kaanton men ghire phool ko choom aayegi lekin titli ke paron ko kabhi chhilte nahin dekha kis tarah mirii rooh hari kar gaya aaKHir vo zahar jise jism men khilte nahin dekha

Parveen Shakir

4 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Parveen Shakir.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Parveen Shakir's ghazal.