ghazalKuch Alfaaz

main is umiid pe duuba ki tu bacha lega ab is ke baad mira imtihan kya lega ye ek mela hai vaada kisi se kya lega dhalega din to har ik apna rasta lega main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaunga koi charaghh nahin huun ki phir jala lega kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye jo be-amal hai vo badla kisi se kya lega main us ka ho nahin sakta bata na dena use lakiren haath ki apni vo sab jala lega hazar tod ke aa jaun us se rishta 'vasim' main janta huun vo jab chahega bula lega main is umid pe duba ki tu bacha lega ab is ke baad mera imtihan kya lega ye ek mela hai wada kisi se kya lega dhalega din to har ek apna rasta lega main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaunga koi charagh nahin hun ki phir jala lega kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye jo be-amal hai wo badla kisi se kya lega main us ka ho nahin sakta bata na dena use lakiren hath ki apni wo sab jala lega hazar tod ke aa jaun us se rishta 'wasim' main jaanta hun wo jab chahega bula lega

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

More from Waseem Barelvi

vo mujh ko kya bataana chahta hai jo duniya se chhupaana chahta hai mujhe dekho ki main us ko hi chaahoon jise saara zamaana chahta hai qalam karna kahaan hai us ka mansha vo meraa sar jhukaana chahta hai shikaayat ka dhuaan aankhoñ se dil tak ta'alluq toot jaana chahta hai taqaza vaqt ka kuchh bhi ho ye dil vahii qissa puraana chahta hai

Waseem Barelvi

6 likes

kya bataaun kaisa KHud ko dar-b-dar main ne kiya umr-bhar kis kis ke hisse ka safar main ne kiya tu to nafrat bhi na kar paayega is shiddat ke saath jis bala ka pyaar tujh se be-KHabar main ne kiya kaise bacchon ko bataaun raaston ke pech-o-kham zindagi-bhar to kitaabon ka safar main ne kiya kis ko furqat thii ki batlaata tujhe itni si baat KHud se kya bartaav tujh se chhoot kar main ne kiya chand jazbaati se rishton ke bachaane ko waseem kaisa kaisa jabr apne aap par main ne kiya

Waseem Barelvi

5 likes

andhera zehan ka samt-e-safar jab khone lagta hai kisi ka dhyaan aata hai ujaala hone lagta hai vo jitni door ho utna hi meraa hone lagta hai magar jab paas aata hai to mujh se khone lagta hai kisi ne rakh diye mamta-bhare do haath kya sar par mire andar koi bachcha bilak kar rone lagta hai mohabbat chaar din ki aur udaasi zindagi bhar ki yahii sab dekhta hai aur kabeera rone lagta hai samjhte hi nahin naadaan kai din ki hai milkiiyyat paraaye kheton pe apnon men jhagda hone lagta hai ye dil bach kar zamaane bhar se chalna chahe hai lekin jab apni raah chaltaa hai akela hone lagta hai

Waseem Barelvi

10 likes

sirf teraa naam le kar rah gaya aaj deewaana bahut kuchh kah gaya kya mirii taqdeer men manzil nahin fasla kyun muskuraa kar rah gaya zindagi duniya men aisa ashk thii jo zaraa palkon pe thehra bah gaya aur kya tha us ki pursish ka javaab apne hi aañsu chhupa kar rah gaya us se pooch ai kaamyaab-e-zindagi jis ka afsaana adhoora rah gaya haaye kya deewaangi thii ai waseem jo na kehna chahiye tha kah gaya

Waseem Barelvi

2 likes

ham apne aap ko ik mas'ala banaa na sake isee li.e to kisi ki nazar men aa na sake ham aañsuon ki tarah vaaste nibha na sake rahe jin aankhoñ men un men hi ghar banaa na sake phir aandhiyon ne sikhaaya vahaañ safar ka hunar jahaan charaaghh ha men raasta dikha na sake jo pesh pesh the bastii bachaane waalon men lagii jab aag to apna bhi ghar bacha na sake mire KHuda kisi aisi jagah use rakhna jahaan koi mire baare men kuchh bataa na sake tamaam umr ki koshish ka bas yahii haasil kisi ko apne mutaabiq koi banaa na sake tasalliyon pe bahut din jiya nahin jaata kuchh aisa ho ke tira e'tibaar aa na sake

Waseem Barelvi

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Waseem Barelvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Waseem Barelvi's ghazal.