ghazalKuch Alfaaz

main jo kahta huun tu kajravi chhod de vo ye kahti hai tu dosti chhod de main ye kahta huun mujh ko divana bana vo ye kahti hai divangi chhod de jab main tarif karta huun us ki kabhi tab vo kahti hai bas shairi chhod de jab kabhi dil ki baten batata huun main tab vo kahti hai ab dil lagi chhod de jab main kahta huun hai jaan hazir miri vo ye kahti hai ab jaan miri chhod de jab main kahta huun jiina hai mushkil bahut tab vo kahti hai ja zindagi chhod de main jo kahta hun tu kajrawi chhod de wo ye kahti hai tu dosti chhod de main ye kahta hun mujh ko diwana bana wo ye kahti hai diwangi chhod de jab main tarif karta hun us ki kabhi tab wo kahti hai bas shairi chhod de jab kabhi dil ki baaten batata hun main tab wo kahti hai ab dil lagi chhod de jab main kahta hun hai jaan hazir meri wo ye kahti hai ab jaan meri chhod de jab main kahta hun jina hai mushkil bahut tab wo kahti hai ja zindagi chhod de

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Sabihuddin Shoaiby.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Sabihuddin Shoaiby's ghazal.