ghazalKuch Alfaaz

main kaar-aamad hooñ ya be-kaar hooñ main magar ai yaar teraa yaar hooñ main jo dekha hai kisi ko mat bataana ilaaqe bhar men izzat-daar hooñ main KHud apni zaat ke armaaye men bhi sifar feesad ka hisse-daar hooñ main aur ab kyun bein karte aa ga.e hon kaha tha na bahut beemaar hooñ main mirii to saari duniya bas tumhi ho galat kya hai jo duniya-daar hooñ main kahaanii men jo hota hi nahin hai kahaanii ka vahii kirdaar hooñ main ye tay karta hai dastak dene vaala kahaan dar hooñ kahaan deewaar hooñ main koi samjhaaye mere dushmanon ko zaraa si dosti ki maar hooñ main mujhe patthar samajh kar pesh mat aa zaraa sa rahm kar jaan-daar hooñ main bas itnaa soch kar kijeye koi hukm badaa munh-zor khidmat-gaar hooñ main koi shak hai to be-shak aazma le tira hone ka da'we-daar hooñ main agar har haal men KHush rahna fan hai to phir sab se badaa fankaar hooñ main zamaana to mujhe kahtaa hai faaris magar faaris ka parda-daar hooñ main unhen khilna sikhaata hooñ main faaris gulaabon ka suhoolat-kaar hooñ main

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

More from Rehman Faris

raat aa baithi hai pahluu men sitaaro takhliya ab ha men darkaar hai khilwat so yaaro takhliya aankh vaa hai aur husn-e-yaar hai peshe-e-nazar shash-jihat ke baqi-maanda sab nazaaro takhliya dekhne vaala tha manzar jab kaha darvesh ne kaj-kulaaho baadshaaho taaj-daaro takhliya gham se ab hogii barah-e-raast meri guftugoo dosto teemaar-daaro gham-gusaaro takhliya chaar jaanib hai hujoom-e-na-shanaayaan-e-sukhan aaj poore zor se faaris pukaaro takhliya

Rehman Faris

2 likes

yahii dua hai yahii hai salaam ishq ba-khair mire s abhii rufqa-e-kiraam ishq ba-khair dayaar-e-hijr ki sooni udaas galiyon men pukaarta hai koi subh-o-shaam ishq ba-khair main kar raha tha dua ki guzaarishein us se so kah gaii hai udaasi ki shaam ishq ba-khair bade ajeeb hain shahr-e-junoon ke baashinde hamesha kahte hain ba'd-az-salaam ishq ba-khair ye rah zaroor tumhaare hi ghar ko jaati hai likha hua hai yahaañ gaam gaam ishq ba-khair bayaan ki hai ghazal-waar daastaan-e-ishq so is kitaab ka rakha hai naam ishq ba-khair ufuq ke paar mujhe yaad kar raha hai koi abhii mila hai udhar se payaam-e-ishq ba-khair

Rehman Faris

2 likes

mujhe garz hai sitaare na mahtaab ke saath chamak raha hai ye dil poori aab-o-taab ke saath napi-tuli si mohabbat laga bandha sa karam nibha rahe ho ta'alluq bade hisaab ke saath main is li.e nahin thakta tire ta'aqub se mujhe yaqeen hai ki paani bhi hai saraab ke saath sawaal-e-wasl pe inkaar karne waale sun sawaal khatm nahin hogaa is javaab ke saath KHamosh jheel ke paani men vo udaasi thii ki dil bhi doob gaya raat mahtaab ke saath jata diya ki mohabbat men gham bhi hote hain diya gulaab to kaañte bhi the gulaab ke saath main le udoonga tire khadd-o-khaal se ta'beerna dekh mirii taraf chashm-e-neem-khwaab ke saath are ye sirf bahaana hai baat karne ka mirii majaal ki jhagda karoon janab ke saath visaal-o-hijr ki sarhad pe jhut-pute men kahii vo be-hijaab hua tha magar hijaab ke saath shikasta aaina dekha phir apna dil dekha dikhaai dii mujhe taa'beer-e-KHvaab KHvaab ke saath vahaañ miloonga jahaan dono vaqt milte hain main kam-naseeb tire jaise kaamyaab ke saath dayaar-e-hijr ke roza-guzaar chahte hain ki roza khole tire aur sharaab-e-naab ke saath tum achchhii dost ho so meraa mashwara ye hai mila-jula na karo faaris'-e-kharaab ke saath

Rehman Faris

4 likes

nazar uthaaye to kya kya fasana banta hai sau peshe-e-yaar nigaahen jhuk aanaa banta hai vo laakh be-khabr-o-be-wafa sahi lekin talab kiya hai gar us ne to j aanaa banta hai ragon talak utar aayi hai zulmat-e-shab-e-gham so ab charaaghh nahin dil jalana banta hai paraai aag mira ghar jala rahi hai so ab KHamosh rahna nahin ghul mach aanaa banta hai qadam qadam pe tawazun ki baat mat kijeye ye may-kada hai yahaañ ladkhadana banta hai bichhadne waale tujhe kis tarah bataaun main ki yaad aanaa nahin teraa aanaa banta hai ye dekh kar ki tire aashiqon men main bhi hooñ jamaal-e-yaar tira muskurana banta hai junoon bhi sirf dikhaava hai vahshatein bhi galat deewana hai nahin faaris deewana banta hai

Rehman Faris

1 likes

sar-b-sar yaar ki marzi pe fida ho jaana kya ghazab kaam hai raazi-b-raza ho jaana band aankhoñ vo chale aayen to vaa ho jaana aur yuñ phoot ke rona ki fana ho jaana ishq men kaam nahin zor-zabardasti ka jab bhi tum chaaho juda hona juda ho jaana teri jaanib hai b-tadreej tarqqi mirii mire hone ki hai me'raaj tira ho jaana tere aane ki basharat ke siva kuchh bhi nahin baagh men sukhe darakhton ka haraa ho jaana ik nishaani hai kisi shahar ki barbaa dii ki naarwa baat ka yak-lakht rawa ho jaana tang aa jaaun mohabbat se to gahe gahe achha lagta hai mujhe teraa KHafaa ho jaana si diye jaayen mire hont to ai jaan-e-ghazal aisa karna mirii aankhoñ se ada ho jaana be-niyaazi bhi vahii aur ta'alluq bhi vahii tumhein aata hai mohabbat men KHuda ho jaana azdaha ban ke rag-o-pai ko jakad leta hai itnaa aasaan nahin gham se rihaa ho jaana achchhe achhon pe bure din hain lihaaza faaris achchhe hone se to achha hai bura ho jaana

Rehman Faris

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Rehman Faris.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Rehman Faris's ghazal.