ghazalKuch Alfaaz

main kisi shaKHs se bezaar nahin ho saka ek zarra bhi to be-kaar nahin ho saka is qadar pyaar hai insaan ki khataaon se mujhe ki farishta miraa mea'ar nahin ho saka ai KHuda phir ye jahannam ka tamasha kya hai teraa shehkaar to finnaar nahin ho saka ai haqeeqat ko faqat KHvaab samajhne waale tu kabhi saahib-e-asraar nahin ho saka tu ki ik mauja-e-nikhat se bhi chaunk uthata hai hashr aata hai to bedaar nahin ho saka sar-e-deewaar ye kyun nirakh ki takraar hui ghar ka aangan kabhi bazaar nahin ho saka raakh si majlis-e-aqwaam ki chutki men hai kya kuchh bhi ho ye miraa pindaar nahin ho saka is haqeeqat ko samajhne men lutaaya kya kuchh miraa dushman miraa gham-khwaar nahin ho saka main ne bheja tujhe aivaan-e-hukoomat men magar ab to barson tira deedaar nahin ho saka teergii chahe sitaaron ki sifaarish laaye raat se mujh ko sarokaar nahin ho saka vo jo she'r'on men hai ik shay pas-e-alfaaz nadeemus ka alfaaz men izhaar nahin ho saka

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

More from Ahmad Nadeem Qasmi

tu bigadta bhi hai khaas apne hi andaaz ke saath phool khilte hain tire shola-e-aawaaz ke saath ek baar aur bhi kyun arz-e-tamanna na karoon ki tu inkaar bhi karta hai ajab naaz ke saath lay jo tooti to sadaa aayi shikast-e-dil ki rag-e-jaan ka koi rishta hai rag-e-saaz ke saath tu pukaare to chamak uthatii hain meri aañkhen teri soorat bhi hai shaamil tiri awaaz ke saath jab tak arzaan hai zamaane men kabootar ka lahu zulm hai rabt rakhoon gar kisi shahbaaz ke saath past itni to na thii meri shikast ai yaaro par samete hain magar hasrat parwaaz ke saath pahre baithe hain qafas par ki hai sayyaad ko vaham par-shikaston ko bhi ik rabt hai parwaaz ke saath umr bhar sang-zanee karte rahe ahl-e-watan ye alag baat ki dafnaayenge e'zaaz ke saath

Ahmad Nadeem Qasmi

0 likes

phir bhayaanak teergii men aa ga.e ham gajr bajne se dhoka kha ga.e haaye KHvaabon ki khayaaban-saaziyaan aankh kya khuli chaman murjha ga.e kaun the aaKHir jo manzil ke qareeb aaine ki chadaren faila ga.e kis tajalli ka diya ham ko fareb kis dhundlake men ha men pahuncha ga.e un ka aanaa hashr se kuchh kam na tha aur jab palte qayamat dhaa ga.e ik paheli ka ha men de kar javaab ik paheli ban ke har soo chha ga.e phir vahii akhtar-shumaari ka nizaam ham to is takraar se ukta ga.e rehnumaao raat abhii baaki sahi aaj sayyaare agar takra ga.e kya rasaa nikli dua-e-ijtihaad vo chhupaate hi rahe ham pa ga.e bas vahii memaar-e-fardaa hain nadeem jin ko mere valvale raas aa ga.e

Ahmad Nadeem Qasmi

0 likes

kahii vo mirii mohabbat men ghul raha hi na ho KHuda kare use ye tajurba hua hi na ho supurdagi miraa mea'ar to nahin lekin main sochta hooñ tire roop men KHuda hi na ho main tujh ko pa ke bhi kis shaKHs ki talash men hooñ mire khayal men koi tire siva hi na ho vo uzr kar ki mire dil ko bhi yaqeen aa.e vo geet ga ki jo main ne k abhii suna hi na ho vo baat kar jise faila ke main ghazal kah luun sunaau she'r jo main ne abhii likha hi na ho sehar ko dil ki taraf ye dhuaan sa kaisa hai kahii ye miraa diya raat-bhar jala hi na ho ho kaise jabr-e-mashiyyat ko is dua ka lihaaz jo ek baar mile phir k abhii juda hi na ho ye abr-o-kisht ki duniya men kaise mumkin hai ki umr-bhar ki vafaa ka koi sila hi na ho mirii nigaah men vo ped bhi hai bad-kirdaar lada hua ho jo phal se magar jhuka hi na ho jo dasht dasht se phoolon ki bheek maangata tha kahii vo tod ke kashkol mar gaya hi na ho tuloo-e-subh ne chamka diye hain abr ke chaak nadeem ye miraa daaman-e-muddaa hi na ho

Ahmad Nadeem Qasmi

0 likes

jee chahta hai falak pe jaaun suraj ko ghuroob se bachaaun bas meraa chale jo gardishon par din ko bhi na chaand ko bujhaaun main chhod ke seedhe raaston ko bhatki hui nekiyaan kamaoon imkaan pe is qadar yaqeen hai seharaaon men beej daal aaun main shab ke musafiron ki khaatir mish'aal na mile to ghar jalaaun ashaar hain mere istiaare aao tumhein aaine dikhaaun yuñ bat ke bikhar ke rah gaya hooñ har shaKHs men apna aks paau awaaz jo doon kisi ke dar par andar se bhi KHud nikal ke aaun ai chaaragaraan-e-asr-e-haazir faulaad ka dil kahaan se laaun har raat dua karoon sehar ki har subh naya fareb khaaoon har jabr pe sabr kar raha hooñ is tarah kahii ujad na jaaun rona bhi to tarz-e-guftugoo hai aañkhen jo ruken to lab hilaaoon KHud ko to nadeem aazmaaya ab mar ke KHuda ko aazmaaoon

Ahmad Nadeem Qasmi

0 likes

andheri raat ko ye mo'jiza dikhaayenge ham charaagh agar na jala apna dil jalaainge ham hamaari kohkani ke hain mukhtalif meyaar pahaad kaat ke raste naye banaaenge ham junoon-e-ishq pe tanqeed apna kaam nahin gulon ko noch ke kyun titliyan udaayenge ham jo dil dukha hai to ye azm bhi mila hai ha men tamaam umr kisi ka na dil dukhaaenge ham agar hai maut men kuchh lutf to bas itnaa hai ki is ke baad KHuda ka suraag paayenge ham ha men to qabr bhi tanhaa na kar sakegi nadeem ki har taraf se zameen ko qareeb paayenge ham

Ahmad Nadeem Qasmi

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Nadeem Qasmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Nadeem Qasmi's ghazal.