ghazalKuch Alfaaz

kahii vo mirii mohabbat men ghul raha hi na ho KHuda kare use ye tajurba hua hi na ho supurdagi miraa mea'ar to nahin lekin main sochta hooñ tire roop men KHuda hi na ho main tujh ko pa ke bhi kis shaKHs ki talash men hooñ mire khayal men koi tire siva hi na ho vo uzr kar ki mire dil ko bhi yaqeen aa.e vo geet ga ki jo main ne k abhii suna hi na ho vo baat kar jise faila ke main ghazal kah luun sunaau she'r jo main ne abhii likha hi na ho sehar ko dil ki taraf ye dhuaan sa kaisa hai kahii ye miraa diya raat-bhar jala hi na ho ho kaise jabr-e-mashiyyat ko is dua ka lihaaz jo ek baar mile phir k abhii juda hi na ho ye abr-o-kisht ki duniya men kaise mumkin hai ki umr-bhar ki vafaa ka koi sila hi na ho mirii nigaah men vo ped bhi hai bad-kirdaar lada hua ho jo phal se magar jhuka hi na ho jo dasht dasht se phoolon ki bheek maangata tha kahii vo tod ke kashkol mar gaya hi na ho tuloo-e-subh ne chamka diye hain abr ke chaak nadeem ye miraa daaman-e-muddaa hi na ho

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

More from Ahmad Nadeem Qasmi

tu bigadta bhi hai khaas apne hi andaaz ke saath phool khilte hain tire shola-e-aawaaz ke saath ek baar aur bhi kyun arz-e-tamanna na karoon ki tu inkaar bhi karta hai ajab naaz ke saath lay jo tooti to sadaa aayi shikast-e-dil ki rag-e-jaan ka koi rishta hai rag-e-saaz ke saath tu pukaare to chamak uthatii hain meri aañkhen teri soorat bhi hai shaamil tiri awaaz ke saath jab tak arzaan hai zamaane men kabootar ka lahu zulm hai rabt rakhoon gar kisi shahbaaz ke saath past itni to na thii meri shikast ai yaaro par samete hain magar hasrat parwaaz ke saath pahre baithe hain qafas par ki hai sayyaad ko vaham par-shikaston ko bhi ik rabt hai parwaaz ke saath umr bhar sang-zanee karte rahe ahl-e-watan ye alag baat ki dafnaayenge e'zaaz ke saath

Ahmad Nadeem Qasmi

0 likes

main kisi shaKHs se bezaar nahin ho saka ek zarra bhi to be-kaar nahin ho saka is qadar pyaar hai insaan ki khataaon se mujhe ki farishta miraa mea'ar nahin ho saka ai KHuda phir ye jahannam ka tamasha kya hai teraa shehkaar to finnaar nahin ho saka ai haqeeqat ko faqat KHvaab samajhne waale tu kabhi saahib-e-asraar nahin ho saka tu ki ik mauja-e-nikhat se bhi chaunk uthata hai hashr aata hai to bedaar nahin ho saka sar-e-deewaar ye kyun nirakh ki takraar hui ghar ka aangan kabhi bazaar nahin ho saka raakh si majlis-e-aqwaam ki chutki men hai kya kuchh bhi ho ye miraa pindaar nahin ho saka is haqeeqat ko samajhne men lutaaya kya kuchh miraa dushman miraa gham-khwaar nahin ho saka main ne bheja tujhe aivaan-e-hukoomat men magar ab to barson tira deedaar nahin ho saka teergii chahe sitaaron ki sifaarish laaye raat se mujh ko sarokaar nahin ho saka vo jo she'r'on men hai ik shay pas-e-alfaaz nadeemus ka alfaaz men izhaar nahin ho saka

Ahmad Nadeem Qasmi

0 likes

miraa ghuroor tujhe kho ke haar maan gaya main chot kha ke magar apni qadr jaan gaya kahii ufuq na mila meri dasht-gar dii ko main teri dhun men bharii kaayenaat chaan gaya KHuda ke baa'd to be-intihaa andhera hai tiri talab men kahaan tak na miraa dhyaan gaya jabeen pe bal bhi na aata ganwa ke dono-jahaan jo tu china to main apni shikast maan gaya badalte rang the teri umang ke ghazmaaz tu mujh se bichhda to main teraa raaz jaan gaya KHud apne aap se main shikwa-sanj aaj bhi hooñ nadeem yuñ to mujhe ik jahaan maan gaya

Ahmad Nadeem Qasmi

0 likes

phir bhayaanak teergii men aa ga.e ham gajr bajne se dhoka kha ga.e haaye KHvaabon ki khayaaban-saaziyaan aankh kya khuli chaman murjha ga.e kaun the aaKHir jo manzil ke qareeb aaine ki chadaren faila ga.e kis tajalli ka diya ham ko fareb kis dhundlake men ha men pahuncha ga.e un ka aanaa hashr se kuchh kam na tha aur jab palte qayamat dhaa ga.e ik paheli ka ha men de kar javaab ik paheli ban ke har soo chha ga.e phir vahii akhtar-shumaari ka nizaam ham to is takraar se ukta ga.e rehnumaao raat abhii baaki sahi aaj sayyaare agar takra ga.e kya rasaa nikli dua-e-ijtihaad vo chhupaate hi rahe ham pa ga.e bas vahii memaar-e-fardaa hain nadeem jin ko mere valvale raas aa ga.e

Ahmad Nadeem Qasmi

0 likes

jo log dushman-e-jaan the vahii sahaare the munaafay the mohabbat men ne khasaare the huzoor-e-shaah bas itnaa hi arz karna hai jo ikhtiyaar tumhaare the haq hamaare the ye aur baat bahaarein gurez-paa nikliin gulon ke ham ne to sadqe bahut utaare the KHuda kare ki tiri umr men gine jaayen vo din jo ham ne tire hijr men guzaare the ab izn ho to tiri zulf men piro den phool ki aasmaañ ke sitaare to istiaare the qareeb aa.e to har gul tha khaana-e-zamboor nadeem door ke manzar to pyaare pyaare the

Ahmad Nadeem Qasmi

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Nadeem Qasmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Nadeem Qasmi's ghazal.