main ne kaha ki tajziya-e-jism-o-jan karo us ne kaha ye baat supurd-e-butan karo main ne kaha ki bahar-e-abad ka koi suraghh us ne kaha taaqub-e-lala-e-rukhan karo main ne kaha ki sarf-e-dil-e-raegan hai kya us ne kaha ki arzu-e-raegan karo main ne kaha ki 'ishq men bhi ab maza nahin us ne kaha ki az-sar-e-nau imtihan karo main ne kaha ki aur koi pand-e-khush-gavar us ne kaha ki khidmat-e-pir-e-mughhan karo main ne kaha ham se zamana hai sar-garan us ne kaha ki aur ise sar-garan karo main ne kaha ki zohd sarasar fareb hai us ne kaha ye baat yahan kam bayan karo main ne kaha ki hadd-e-adab men nahin 'zafar' us ne kaha na band kisi ki zaban karo main ne kaha ki tajziya-e-jism-o-jaan karo us ne kaha ye baat supurd-e-butan karo main ne kaha ki bahaar-e-abad ka koi suragh us ne kaha taaqub-e-lala-e-rukhan karo main ne kaha ki sarf-e-dil-e-raegan hai kya us ne kaha ki aarzu-e-raegan karo main ne kaha ki 'ishq mein bhi ab maza nahin us ne kaha ki az-sar-e-nau imtihan karo main ne kaha ki aur koi pand-e-khush-gawar us ne kaha ki khidmat-e-pir-e-mughan karo main ne kaha hum se zamana hai sar-garan us ne kaha ki aur ise sar-garan karo main ne kaha ki zohd sarasar fareb hai us ne kaha ye baat yahan kam bayan karo main ne kaha ki hadd-e-adab mein nahin 'zafar' us ne kaha na band kisi ki zaban karo
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Sirajuddin Zafar.
Similar Moods
More moods that pair well with Sirajuddin Zafar's ghazal.







