main tire sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hava tu kahan main kahan al-aman al-hazar tu samundar hai main sahilon ki hava tujh se hai sab ye husn-e-jahan mo'tabar tujh ko sajde kare kahkashan sar ba-sar tu harim-e-qamar main hazin-e-sahar tu samundar hai main sahilon ki hava gaah shorida-sar gaah khamosh-tar tujh men poshida hain raaz sab basta-sar tere lal-o-gohar aur main khak-sar tu samundar hai main sahilon ki hava tu baharon ki ja tu libas-e-shajar main khizan ki sada main ghhubar-e-safar tu numud-e-matar main hadis-e-digar tu samundar hai main sahilon ki hava vusat-e-be-karan makhzan-e-sim-o-zar be-had-o-be-nishan teri har rah-guzar tu ba-hadd-e-nazar main kanar-e-safar tu samundar hai main sahilon ki hava main tere sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa tu kahan main kahan al-aman al-hazar tu samundar hai main sahilon ki hawa tujh se hai sab ye husn-e-jahan mo'tabar tujh ko sajde kare kahkashan sar ba-sar tu harim-e-qamar main hazin-e-sahar tu samundar hai main sahilon ki hawa gah shorida-sar gah khamosh-tar tujh mein poshida hain raaz sab basta-sar tere lal-o-gohar aur main khak-sar tu samundar hai main sahilon ki hawa tu bahaaron ki ja tu libas-e-shajar main khizan ki sada main ghubar-e-safar tu numud-e-matar main hadis-e-digar tu samundar hai main sahilon ki hawa wusat-e-be-karan makhzan-e-sim-o-zar be-had-o-be-nishan teri har rah-guzar tu ba-hadd-e-nazar main kanar-e-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa
Related Ghazal
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai
Jaun Elia
113 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Farhan Salim.
Similar Moods
More moods that pair well with Farhan Salim's ghazal.







