ghazalKuch Alfaaz

man jis ka maula hota hai vo bilkul mujh sa hota hai tum mujh...ko apna kahte ho kah lene se kya hota hai achchhii ladki zid nahin karte dekho ishq bura hota hai aañkhen hans kar pooch rahi hain neend aane se kya hota hai miTTi ki izzat hoti hai paani ka charcha hota hai marne men koi bahs na karna mar jaana achha hota hai

Ali Zaryoun14 Likes

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii

Zubair Ali Tabish

80 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai

Umair Najmi

81 likes

More from Ali Zaryoun

ada-e-ishq hooñ poori ana ke saath hooñ main KHud apne saath hooñ ya'ni KHuda ke saath hooñ main mujavaraan-e-hawas tang hain ki yuñ kaise baghair sharm-o-haya bhi haya ke saath hooñ main safar shuruat to hone de apne saath mira tu KHud kahega ye kaisi bala ke saath hooñ main main choo gaya to tira rang kaat daaloonga so apne aap se tujh ko bacha ke saath hooñ main durood-bar-dil-e-wahshi salaam-bar-tap-e-ishq KHud apni hamd KHud apni sana ke saath hooñ main yahii to farq hai mere aur un ke hal ke beech shikaayaten hain unhen aur raza ke saath hooñ main main awwaleen ki izzat men aakhireen ka noor vo intiha hooñ ki har ibtida ke saath hooñ main dikhaai doon bhi to kaise sunaai doon bhi to kyun wara-e-naqsh-o-nawa hooñ fana ke saath hooñ main b-hukm-e-yaar love kabz karne aati hai bujha rahi hai bujaaye hawa ke saath hooñ main ye saabireen-e-mohabbat ye kaashifeen-e-junoon inhi ke sang inheen auliya ke saath hooñ main kisi ke saath nahin hooñ magar jamaal-e-ilaaha tiri qism tire har mubtala ke saath hooñ main zamaane bhar ko pata hai main kis tariq pe hooñ sabhi ko ilm hai kis dil-ruba ke saath hooñ main munaafiqeen-e-tasavvuf ki maut hooñ main ali har ik aseel har ik be-riya ke saath hooñ main

Ali Zaryoun

5 likes

us mohalle ke sab gharo kii khair aur gharo men jale diyon kii khair maa main qurbaan tere ghusse par baba jaani kii jhidkiyon kii khair tere ham-khwaab doston ke nisaar teri ham-naam ladkiyon kii khair jo tere khud-o-khaal par honge tere beton kii betiyon kii khair jin ka sardaar o peshwa men hooñ tere haatho pooche huoon kii khair tooti-footi likhaai ke sadke pahli pahli mohabbaton kii khair dushmanon ke li.e duaa ya'ni teri jaanib ke doston kii khair facebook se jo door baithe hain un fakeeron kii baithkon kii khair car men baagh khil gayaa jaise gul-badan teri khushbuon kii khair vo jo seenon pe das ke hansati hai un havasnaak naginon kii khair

Ali Zaryoun

6 likes

chup-chaap kyuuñ phiro ho koii baat to karo hal bhi nikaalte hain mulaqaat to karo khaali hawa men udna fakeeri nahin miyaan dil jod ke dikhaao karaamaat to karo

Ali Zaryoun

15 likes

toor-e-seena hai sar karoge miyaan apne andar safar karoge miyaan tum ha men roz yaad karte ho phir to tum umr bhar karoge miyaan vo jo ik lafz mar gaya hai us..ko kiski khabar karoge miyaan aur dil-e-darvesh ek madeena hai tum madine men sair karoge miyaan

Ali Zaryoun

6 likes

haalat e hijr men hooñ yaar meri samt na dekh tu na ho jaa.e girftaar meri samt na dekh aasteen men jo chhupe saanp hain unko to nikaal apne nuksaan par har baar meri samt na dekh tujhko jis baat ka khadsha hai vo ho sakti hai aise nashshe men lagaataar meri samt na dekh ya koi baat suna ya mujhe seene se laga is tarah baithkar bekar meri samt na dekh teraa yaaron se nahin jeb se yaaraana hai ai mohabbat ke dukandaar meri samt na dekh

Ali Zaryoun

7 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ali Zaryoun.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ali Zaryoun's ghazal.