marne ki duaayein kyun maangoo jeene ki tamannaa kaun kare ye duniya ho ya vo duniya ab khwaahish-e-duniya kaun kare jo aag lagaaee thii tum ne us ko to bujhaaya ashkon ne jo ashkon ne bharkaai hai us aag ko thanda kaun kare jab kashtii saabit-o-saalim thii saahil ki tamannaa kis ko thii ab aisi shikasta kashtii par saahil ki tamannaa kaun kare duniya ne ha men chhodaa jazbi ham chhod na den kyunduniya ko duniya ko samajh kar baithe hain ab duniya duniya kaun kare
Related Ghazal
jeena mushkil hai ki aasaan zaraa dekh to lo log lagte hain pareshaan zaraa dekh to lo phir muqarrir koi sargarm sar-e-minbar hai kis ke hai qatl ka samaan zaraa dekh to lo ye naya shahar to hai khoob basaaya tum ne kyun puraana hua veeraan zaraa dekh to lo in charaaghon ke tale aise andhere kyun hai tum bhi rah jaaoge hairaan zaraa dekh to lo tum ye kahte ho ki main gair hooñ phir bhi shaayad nikal aa.e koi pahchaan zaraa dekh to lo ye sataish ki tamannaa ye sile ki parwaah kahaan l aa.e hain ye armaan zaraa dekh to lo
Javed Akhtar
33 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
ye shaahzaa dii ki ek ada hai kamii nahin hai vo bolne jab lage to phir sochti nahin hai koi jo pooche KHamosh kyun ho to ham bataayen hamaari naarazgi hai ye KHaamushi nahin hai khala ka chehra musavviron ne parakh liya hai par uski tasveer insey ab tak banii nahin hai kal uski aankhoñ men phir se aañsu the mujh...ko lekar to aag ab tak dahak rahi hai bujhi nahin hai mujhi ko mehfil men dhooñdhne vo hua tha daakhil mujhi pe uski nigaah ab tak pa dii nahin hai
Vikram Gaur Vairagi
21 likes
tum itnaa jo muskuraa rahe ho kya gham hai jis ko chhupa rahe ho aankhoñ men nami hañsi labon par kya haal hai kya dikha rahe ho ban jaayenge zahar peete peete ye ashk jo peete ja rahe ho jin zaKHmon ko vaqt bhar chala hai tum kyun unhen chhede ja rahe ho rekhaon ka khel hai muqaddar rekhaon se maat kha rahe ho
Kaifi Azmi
31 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Moin Ahsan Jazbi.
Similar Moods
More moods that pair well with Moin Ahsan Jazbi's ghazal.







