ghazalKuch Alfaaz

mat ghhusse ke sho'le suun jalte kuun jalati ja tuk mehr ke paani suun tu aag bujhati ja tujh chaal ki qimat suun dil nain hai mira vaqif ai maan bhari chanchal tuk bhaav batati ja is raat andhari men mat bhuul padun tujh suun tuk paanv ke jhanjhar ki jhankar sunati ja mujh dil ke kabutar kuun bandha hai tiri lat ne ye kaam dharam ka hai tuk is ko chhudati ja tujh mukh ki parastish men gai 'umr miri saari ai but ki pujan-hari tuk is ko pujati ja tujh 'ishq men jal-jal kar sab tan kuun kiya kajal ye raushni-afza hai ankhiyan ko lagati ja tujh neh men dil jal-jal jogi ki liya surat yak-bar ise mohan chhati suun lagati ja tujh ghar ki taraf sundar aata hai 'vali' daaim mushtaq daras ka hai tuk dars dikhati ja mat ghusse ke sho'le sun jalte kun jalati ja tuk mehr ke pani sun tu aag bujhati ja tujh chaal ki qimat sun dil nain hai mera waqif ai man bhari chanchal tuk bhaw batati ja is raat andhaari mein mat bhul padun tujh sun tuk panw ke jhanjhar ki jhankar sunati ja mujh dil ke kabutar kun bandha hai teri lat ne ye kaam dharam ka hai tuk is ko chhudati ja tujh mukh ki parastish mein gai 'umr meri sari ai but ki pujan-haari tuk is ko pujati ja tujh 'ishq mein jal-jal kar sab tan kun kiya kajal ye raushni-afza hai ankhiyan ko lagati ja tujh neh mein dil jal-jal jogi ki liya surat yak-bar ise mohan chhati sun lagati ja tujh ghar ki taraf sundar aata hai 'wali' daim mushtaq daras ka hai tuk dars dikhati ja

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi

Umair Najmi

68 likes

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahar men kuchh din thehar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharaab-haalon se so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai she'r o shaayri se shagaf so ham bhi mo'jize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baaton se phool jhadte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chaand takta rehta hai sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan sataati hain suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghazaal si aañkhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se badh kar hain kaakulen us ki suna hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulaab jalte hain so ham bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte hain suna hai aaina timsaal hai jabeen us ki jo saada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain suna hai jab se hamaail hain us ki gardan men mizaaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan men palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki taraash aisi hai ki phool apni qabaayein katar ke dekhte hain vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahin ki us shajar pe shagoofe samar ke dekhte hain bas ik nigaah se lutta hai qaafila dil ka so rah-ravaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht makeen udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain ruke to gardishein us ka tawaaf karti hain chale to us ko zamaane thehar ke dekhte hain kise naseeb ki be-pairhan use dekhe kabhi kabhi dar o deewaar ghar ke dekhte hain kahaaniyaan hi sahi sab mubaalga hi sahi agar vo KHvaab hai taabeer kar ke dekhte hain ab us ke shahar men thehre ki kooch kar jaayen faraaz aao sitaare safar ke dekhte hain

Ahmad Faraz

65 likes

to kya ye aakhiri KHvaahish hai achha bhool jaaun jahaan bhi jo bhi hai tere alaava bhool jaaun to kya ye doosra hi ishq asli ishq samjhoon to pehla tajarbe kii den men tha bhool jaaun to kya itnaa hi aasaan hai kisi ko bhool jaana ki bas baaton hi baaton men bhulaata bhool jaaun kabhi kahtaa hooñ us..ko yaad rakhna theek hogaa magar phir sochta hooñ faaeda kya bhool jaaun ye koii qatl thodii hai ki baat aayi gaii ho main aur apna nazar-andaaz hona bhool jaaun hai itni juziyaat is saanhe kii poochiye mat main kya kya yaad rakhoon aur kya kya bhool jaaun koii kab tak kisi kii be-vafaaii yaad rakhe bahut mumkin hai main bhi rafta rafta bhool jaaun to kya ye kah ke KHud ko mutmain kar loge javvaad ki vo hai bhi isi laaiq lihaaza bhool jaaun

Jawwad Sheikh

42 likes

jo bhi izzat ke dar se dar jaa.e mat kare ishq apne ghar jaa.e baat aa jaa.e jab duao par isse behtar hai banda mar jaa.e thodii si aur der saamne rah meri aankhoñ ka pet bhar jaa.e al muhaimin ke ghar bhi khatre hai jaa.e bhi to koi kidhar jaa.e haan aqeeda agar na kaid rakhe phir to insaan kuchh bhi kar jaa.e bebaasi ki ye aakhiri had hai meri aulaad aap par jaa.e uske chehre par aaj udaasi thii haay afkaar alvee mar jaa.e

Afkar Alvi

38 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Wali Dakni.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Wali Dakni's ghazal.