ghazalKuch Alfaaz

mausamon ka javab de diije aaj thodi sharab de diije aap ka husn hai bahar miri in labon ke gulab de diije kis liye hai naqab men chehra padhne vaali kitab de diije sar se pa tak khumar ka aalam ye chhalakti sharab de diije zulf ki shaam subh chehre ki yahi mausam janab de diije ek din aur zindagi ji len raat bhar ko shabab de diije mausamon ka jawab de dije aaj thodi sharab de dije aap ka husn hai bahaar meri in labon ke gulab de dije kis liye hai naqab mein chehra padhne wali kitab de dije sar se pa tak khumar ka aalam ye chhalakti sharab de dije zulf ki sham subh chehre ki yahi mausam janab de dije ek din aur zindagi ji len raat bhar ko shabab de dije

Related Ghazal

mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho

Fazil Jamili

73 likes

uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai

Tehzeeb Hafi

220 likes

mujh men kitne raaz hain batlaaoon kya band ek muddat se hooñ khul jaaun kya aajizi minnat khushamad iltijaa aur main kya kya karoon mar jaaun kya tere jalse men teraa parcham li.e saikron laashen bhi hain ginwaaoon kya kal yahaan main tha jahaan tum aaj ho main tumhaari hi tarah itraaoon kya ek patthar hai vo meri raah ka gar na thukraaoon to thokar khaaoon kya phir jagaaya tune soye she'r ko phir vahii lahjaa daraazi aaun kya

Rahat Indori

56 likes

to kya ye aakhiri KHvaahish hai achha bhool jaaun jahaan bhi jo bhi hai tere alaava bhool jaaun to kya ye doosra hi ishq asli ishq samjhoon to pehla tajarbe kii den men tha bhool jaaun to kya itnaa hi aasaan hai kisi ko bhool jaana ki bas baaton hi baaton men bhulaata bhool jaaun kabhi kahtaa hooñ us..ko yaad rakhna theek hogaa magar phir sochta hooñ faaeda kya bhool jaaun ye koii qatl thodii hai ki baat aayi gaii ho main aur apna nazar-andaaz hona bhool jaaun hai itni juziyaat is saanhe kii poochiye mat main kya kya yaad rakhoon aur kya kya bhool jaaun koii kab tak kisi kii be-vafaaii yaad rakhe bahut mumkin hai main bhi rafta rafta bhool jaaun to kya ye kah ke KHud ko mutmain kar loge javvaad ki vo hai bhi isi laaiq lihaaza bhool jaaun

Jawwad Sheikh

42 likes

yahaañ tum dekhna rutba hamaara hamaari ret hai dariyaa hamaara kisi se kal pitaaji kah rahe the muhabbat kha gaii ladka hamaara ta'alluq khatm karne ja rahi hai kahii girwa na de bachcha hamaara

Kushal Dauneria

67 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Sabir Dutt.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Sabir Dutt's ghazal.