ghazalKuch Alfaaz

mausamon ke taghayyur ko bhaanpa nahin chhatriyaan khol deen zakham bharne se pahle kisi ne mirii pattiyaan khol deen ham machheron se poochho samundar nahin hai ye ifreet hai tum ne kya soch kar sahilon se bandhi kashtiyaañ khol deen us ne va'don ke parbat se latke huoon ko sahaara diyaus ki awaaz par koh-paimaaon ne rassiyaan khol deen dasht-e-ghurbat men main aur mira yaar-e-shab-zaad baaham mile yaar ke paas jo kuchh bhi tha yaar ne gathriyaan khol deen kuchh baras to tiri yaad ki rail dil se guzarti rahi aur phir main ne thak haar ke ek din patriyaan khol deen us ne seharaaon ki sair karte hue ik shajar ke tale apni aankhoñ se aink utaari ki do hiraniyaan khol deen aaj ham kar chuke ahad-e-tark-e-sukhan par raqam dastkhat aaj ham ne naye sha'iron ke li.e bhartiyaan khol deen

Tehzeeb Hafi37 Likes

Related Ghazal

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

More from Tehzeeb Hafi

ashk ज़ाया' ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujhpe kitne saanihe guzre par un aankhoñ ko kya meraa dukh ye hain ki meraa hamsafar rota na tha maine uske vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mere kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi usse tha magar itnaa nahin tab main us..ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha

Tehzeeb Hafi

44 likes

ajeeb KHvaab tha us ke badan men kaai thii vo ik pari jo mujhe sabz karne aayi thii vo ik charagh-kada jis men kuchh nahin tha meraa vo jal rahi thii vo qindeel bhi paraai thii na jaane kitne parindon ne is men shirkat ki kal ek ped ki taraqeeb-e-ro-numaai thii hawaon aao mire gaav ki taraf dekho jahaan ye ret hai pahle yahaañ taraai thii kisi sipaah ne khe men laga diye hain vahaañ jahaan ye main ne nishaani tiri dabaai thii gale mila tha kabhi dukh bhare december se mire vujood ke andar bhi dhund chhaai thii

Tehzeeb Hafi

15 likes

cheekhte hain dar-o-deewar nahin hota main aankh khulne pe bhi bedaar nahin hota main KHvaab karna ho safar karna ho ya rona ho mujh men khoobi hai bezaar nahin hota men ab bhala apne li.e banna sanwarna kaisa KHud se milnaa ho to taiyyaar nahin hota main kaun aayega bhala meri ayaadat ke li.e bas isee khauf se beemaar nahin hota main manzil-e-ishq pe niklaa to kaha raaste ne har kisi ke li.e hamvaar nahin hota main teri tasveer se taskin nahin hoti mujhe teri awaaz se sarshaar nahin hota main log kahte hain main baarish ki tarah hooñ haafi akshar auqaat lagaataar nahin hota main

Tehzeeb Hafi

35 likes

ik haveli hooñ us ka dar bhi hooñ KHud hi aangan KHud hi shajar bhi hooñ apni masti men bahta dariyaa hooñ main kinaara bhi hooñ bhanwar bhi hooñ aasmaañ aur zameen ki wus'at dekh main idhar bhi hooñ aur udhar bhi hooñ KHud hi main KHud ko likh raha hooñ khat aur main apna nama-bar bhi hooñ dastaan hooñ main ik taveel magar tu jo sun le to mukhtasar bhi hooñ ek faldar ped hooñ lekin vaqt aane pe be-samar bhi hooñ

Tehzeeb Hafi

19 likes

shor karunga aur na kuchh bhi boloonunga khaamoshi se apna rona ro loonga saari umr isee KHvaahish men guzri hai dastak hogii aur darwaaza khooloonunga tanhaaii men KHud se baatein karne hain mere munh men jo aayega boloonunga raat bahut hai tum chaaho to so jaao meraa kya hai main din men bhi so loonga tum ko dil ki baat bataani hai lekin aañkhen band karo to mutthi khooloonunga

Tehzeeb Hafi

84 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Tehzeeb Hafi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Tehzeeb Hafi's ghazal.