ghazalKuch Alfaaz

mire bas men ya to ya-rab vo sitam-shiaar hota ye na tha to kaash dil par mujhe ikhtiyaar hota pas-e-marg kaash yuñ hi mujhe vasl-e-yaar hota vo sar-e-mazaar hota main tah-e-mazaar hota tira may-kada salaamat tire khum ki KHair saaqi mira nashsha kyun utarta mujhe kyun khumaar hota main hooñ na-muraad aisa ki bilak ke yaas roti kahii pa ke aasraa kuchh jo umeed-waar hota nahin poochta hai mujh ko koi phool is chaman men dil-e-daag-daar hota to gale ka haar hota vo mazaa diya tadap ne ki ye aarzoo hai ya-rab mire dono pahluon men dil-e-be-qaraar hota dam-e-naz'a bhi jo vo but mujhe aa ke munh dikhaata to KHuda ke munh se itnaa na main sharmasaar hota na malak sawaal karte na lahd fishaar deti sar-e-raah-e-koo-e-qaatil jo mira mazaar hota jo nigaah ki thii zalim to phir aankh kyun churaai vahii teer kyun na maara jo jigar ke paar hota main zabaan se tum ko saccha kaho laakh baar kah doon ise kya karoon ki dil ko nahin e'tibaar hota mirii KHaak bhi lahd men na rahi ameer baaki unhen marne hi ka ab tak nahin e'tibaar hota

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

More from Ameer Minai

chup bhi ho bak raha hai kya waiz maghz rindon ka kha gaya waiz tere kehne se rind jaayenge ye to hai khaana-e-khuda waiz allah allah ye kibr aur ye ghuroor kya KHuda ka hai doosra waiz be-khata may-kashon pe chashm-e-ghazab hashr hone de dekhna waiz ham hain qaht-e-sharaab se beemaar kis marz ki hai tu davaa waiz rah chuka may-kade men saari umr kabhi may-khaane men bhi aa waiz hajw-e-may kar raha tha mimbar par ham jo pahunchen to pee gaya waiz dukht-e-raz ko bura mire aage phir na kehna kabhi suna waiz aaj karta hooñ wasf-e-may main ameer dekhooñ kahtaa hai is men kya waiz

Ameer Minai

0 likes

teer par teer lagao tumhein dar kis ka hai seena kis ka hai mirii jaan jigar kis ka hai khauf-e-meezaan-e-qayaamat nahin mujh ko ai dost tu agar hai mire palle men to dar kis ka hai koi aata hai adam se to koi jaata hai sakht dono men KHuda jaane safar kis ka hai chhup raha hai qafas-e-tan men jo har taair-e-dil aankh khole hue shaheen-e-nazar kis ka hai naam-e-shaair na sahi she'r ka mazmoon ho khoob phal se matlab ha men kya kaam shajar kis ka hai said karne se jo hai taair-e-dil ke munkir ai kamaan-daar tire teer men par kis ka hai mirii hairat ka shab-e-wasl ye bais hai ameer sar b-zaanoo hooñ ki zaanoo pe ye sar kis ka hai

Ameer Minai

0 likes

main ro ke aah karunga jahaan rahe na rahe zameen rahe na rahe aasmaañ rahe na rahe rahe vo jaan-e-jahaan ye jahaan rahe na rahe makeen ki KHair ho ya rab makaan rahe na rahe abhii mazaar par ahbaab faatiha padh len phir is qadar bhi hamaara nishaan rahe na rahe KHuda ke vaaste kalmaa buton ka padh zaahid phir ikhtiyaar men ghaafil zabaan rahe na rahe khizaan to KHair se guzri chaman men bulbul ki bahaar aayi hai ab aashiyaan rahe na rahe chala to hooñ paye izhaar-e-dard-e-dil dekhooñ huzoor-e-yaar majaal-e-bayaan rahe na rahe ameer jama hain ahbaab dard-e-dil kah le phir iltifaat-e-dil-e-dostaan rahe na rahe

Ameer Minai

1 likes

jab se bulbul tu ne do tinke li.e tootti hain bijliyaan in ke li.e hai jawaani KHud jawaani ka singaar saadgi gehna hai is sin ke li.e kaun veeraane men dekhega bahaar phool jungle men khile kin ke li.e saari duniya ke hain vo mere siva main ne duniya chhod dii jin ke li.e baagbaan kaliyaan hon halke rang ki bhejni hai ek kam-sin ke li.e sab haseen hain zaahidon ko na-pasand ab koi hoor aayegi in ke li.e vasl ka din aur itnaa mukhtasar din gine jaate the is din ke li.e subh ka sona jo haath aata ameer bhejte tohfa mo'azzin ke li.e

Ameer Minai

0 likes

jab se bulbul tu ne do tinke li.e tootti hain bijliyaan in ke li.e hai jawaani KHud jawaani ka singaar saadgi gehna hai is sin ke li.e kaun veeraane men dekhega bahaar phool jungle men khile kin ke li.e saari duniya ke hain vo mere siva main ne duniya chhod dii jin ke li.e baagbaan kaliyaan hon halke rang ki bhejni hai ek kam-sin ke li.e sab haseen hain zaahidon ko na-pasand ab koi hoor aayegi in ke li.e vasl ka din aur itnaa mukhtasar din gine jaate the is din ke li.e subh ka sona jo haath aata ameer bhejte tohfa mo'azzin ke li.e

Ameer Minai

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ameer Minai.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ameer Minai's ghazal.