ghazalKuch Alfaaz

mere khvabon ka jo ghar tha vo khandar lagta hai lag gai dekhne vaale ki nazar lagta hai munfarid hain ye mahakte hue alfaz ke phuul us ki baton men buzurgon ka asar lagta hai gosha-e-zehn men afkar ka varid hona mom se jism men ik raqs-e-sharar lagta hai bad-gumani ka ye 'alam hai ki har chand unhen saaf daman bhi mira khuun se tar lagta hai apni baton ki safai men kahi baton se phir nai baat na nikle mujhe dar lagta hai mere qisse inhi bikhre hue malbon se suno mere bachpan ka ye chhuta hua ghar lagta hai rah badal leta huun main haal koi puchh na le jaana pahchana hua koi agar lagta hai kitna bach bach ke chalun rah-e-zaman men 'razi' yuun to har gaam pe imkan-e-khatar lagta hai mere khwabon ka jo ghar tha wo khandar lagta hai lag gai dekhne wale ki nazar lagta hai munfarid hain ye mahakte hue alfaz ke phul us ki baaton mein buzurgon ka asar lagta hai gosha-e-zehn mein afkar ka warid hona mom se jism mein ek raqs-e-sharar lagta hai bad-gumani ka ye 'alam hai ki har chand unhen saf daman bhi mera khun se tar lagta hai apni baaton ki safai mein kahi baaton se phir nai baat na nikle mujhe dar lagta hai mere qisse inhi bikhre hue malbon se suno mere bachpan ka ye chhuta hua ghar lagta hai rah badal leta hun main haal koi puchh na le jaana pahchana hua koi agar lagta hai kitna bach bach ke chalun rah-e-zaman mein 'raazi' yun to har gam pe imkan-e-khatar lagta hai

Related Ghazal

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Razi Abuzar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Razi Abuzar's ghazal.