mere seene par vo sar rakhe hue sota raha jaane kya thii baat main jaaga kiya rota raha shabnami men dhoop ki jaise watan ka KHvaab tha log ye samjhe main sabze par pada sota raha vaadiyon men gaah utara aur kabhi parbat chadha bojh sa ik dil pe rakha hai jise dhota raha gaah paani gaah shabnam aur kabhi khoonaab se ek hi tha daagh seene men jise dhota raha ik hawaa-e-be-takaan se aakhirsh murjha gaya zindagi bhar jo mohabbat ke shajar bota raha rone waalon ne utha rakha tha ghar sar par magar umr bhar ka jaagne vaala pada sota raha raat ki palkon pe taaron ki tarah jaaga kiya subh ki aankhoñ men shabnam ki tarah rota raha raushni ko rang kar ke le ga.e jis raat log koi saaya mere kamre men chhupa rota raha
Related Ghazal
ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa
Zubair Ali Tabish
66 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari
Ali Zaryoun
70 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
More from Bashir Badr
ik pari ke saath maujon par tahalta raat ko ab bhi ye qudrat kahaan hai aadmi ki zaat ko jin ka saara jism hota hai hamaari hi tarah phool kuchh aise bhi khilte hain hamesha raat ko ek ik kar ke sabhi kapde badan se gir chuke subh phir ham ye kafan pahnaayenge jazbaat ko peeche peeche raat thii taaron ka ik lashkar li.e rail ki patri pe suraj chal raha tha raat ko aab o KHaak o baad men bhi lehar vo aa jaa.e hai surkh kar deti hai dam bhar men jo peeli dhaat ko subh bistar band hai jis men lipt jaate hain ham ik safar ke baa'd phir khulte hain aadhi raat ko sar pe suraj ke hamaare pyaar ka saaya rahe maamta ka jism maange zindagi ki baat ko
Bashir Badr
5 likes
maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha
Bashir Badr
1 likes
falak se chaand sitaaron se jaam lena hai mujhe sehar se nayi ek shaam lena hai kise khabar ki farishte ghazal samjhte hain KHuda ke saamne kaafir ka naam lena hai mua'amla hai tira badtareen dushman se mire aziz mohabbat se kaam lena hai mehkati zulfon se KHushboo chamakti aankh se dhoop shabon se jaam-e-sehr ka salaam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lehje men sukhun se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main meer ke dar par kabhi nahin jaata mujhe KHuda se ghazal ka kalaam lena hai bade saleeqe se noton men us ko tulwa kar ameer-e-shahr se ab intiqaam lena hai
Bashir Badr
1 likes
phool barase kahii shabnam kahii gauhar barase aur is dil ki taraf barase to patthar barase koi baadal ho to tham jaa.e magar ashk mire ek raftaar se din raat barabar barase barf ke phoolon se raushan hui tareek zameen raat ki shaakh se jaise mah o akhtar barase pyaar ka geet andheron pe ujaalon ki fuwaar aur nafrat ki sadaa sheeshe pe patthar barase baarishen chat pe khulii jagahon pe hoti hain magar gham vo saawan hai jo un kamron ke andar barase
Bashir Badr
4 likes
mirii ghazal ki tarah us ki bhi hukoomat hai tamaam mulk men vo sab se khoobsurat hai kabhi kabhi koi insaan aisa lagta hai purane shahar men jaise nayi imarat hai jamee hai der se kamre men ghaybaton ki nashisht fazaa men gard hai maahol men kudoorat hai bahut dinon se mire saath thii magar kal shaam mujhe pata chala vo kitnii khoobsurat hai ye zaairaan-e-ali-garh ka khaas tohfa hai mirii ghazal ka tabarruk dilon ki barkat hai
Bashir Badr
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.







