mitne waali hasratein ijaad kar leta hooñ main jab bhi chaahoon ik jahaan aabaad kar leta hooñ main mujh ko in majbooriyon par bhi hai itnaa ikhtiyaar aah bhar leta hooñ main fariyaad kar leta hooñ main husn be-chaara to ho jaata hai akshar meherbaan phir use aamaada-e-be-daad kar leta hooñ main tu nahin kahtaa magar dekh o wafa-na-aashnaa apni hasti kis qadar barbaad kar leta hooñ main haan ye veeraana ye dil ye aarzooon ka mazaar tum kaho to phir ise aabaad kar leta hooñ main jab koi taaza museebat tootti hai ai hafiz ek aadat hai KHuda ko yaad kar leta hooñ main
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
mere dil men ye tere siva kaun hai tu nahin hai to teri jagah kaun hai ham mohabbat men haare hue log hain aur mohabbat men jeeta hua kaun hai mere pahluu se uth ke gaya kaun hai tu nahin hai to teri jagah kaun hai tune jaate hue ye bataaya nahin main teraa kaun hooñ tu meraa kaun hai
Tehzeeb Hafi
145 likes
mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari
Ali Zaryoun
70 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
More from Hafeez Jalandhari
aaKHir ek din shaad karoge meraa ghar aabaad karoge pyaar ki baatein vasl ki raatein yaad karoge yaad karoge kis dil se aabaad kiya tha kis dil se barbaad karoge main ne apni qeemat kah dii tum bhi kuchh irshaad karoge zar ke bando aql ke andho tum kya mujh ko shaad karoge jab mujh ko chup lag jaayegi phir tum bhi fariyaad karoge aur tumhein aata hi kya hai koi sitam ijaad karoge tang aa kar ai banda-parvar bande ko azaad karoge mere dil men basne waalo tum mujh ko barbaad karoge husn ko rusva kar ke maroonga aaKHir tum kya yaad karoge hashr ke din ummeed hai naaseh tum meri imdaad karoge
Hafeez Jalandhari
1 likes
dosti ka chalan raha hi nahin ab zamaane ki vo hawa hi nahin sach to ye hai sanam-kade waalo dil KHuda ne tumhein diya hi nahin palat aane se ho gaya saabit nama-bar tu vahaañ gaya hi nahin haal ye hai ki ham ghareebon ka haal tum ne k abhii suna hi nahin kya chale zor dasht-e-vahshat ka ham ne daaman k abhii siya hi nahin gair bhi ek din marengay zaroor un ke hisse men kya qaza hi nahin us ki soorat ko dekhta hooñ main meri seerat vo dekhta hi nahin ishq meraa hai shahar men mashhoor aur tum ne abhii suna hi nahin qissa-e-qais sun ke farmaaya jhooth ki koi intiha hi nahin vaasta kis ka den hafiz un ko un buton ka koi KHuda hi nahin
Hafeez Jalandhari
0 likes
jahaan qatre ko tarasaaya gaya hooñ wahin dooba hua paaya gaya hooñ b-haal-e-gumrahi paaya gaya hooñ haram se dair men laaya gaya hooñ bala kaafi na thii ik zindagi ki dobara yaad farmaaya gaya hooñ b-rang-e-laala-e-veeraana bekar khilaaya aur murjhaya gaya hooñ agarche abr-e-gauhar-baar hooñ main magar aankhoñ se barsaaya gaya hooñ supurd-e-khaak hi karna tha mujh ko to phir kahe ko nehl aaya gaya hooñ farishte ko na main shaitaan samjha nateeja ye ki behkaaya gaya hooñ koi sanat nahin mujh men to phir kyun numaish-gaah men laaya gaya hooñ b-qaul-e-brahman qahr-e-khuda hooñ buton ke husn par dhaaya gaya hooñ mujhe to is khabar ne kho diya hai suna hai main kahii paaya gaya hooñ hafiz ahl-e-zabaan kab maante the bade zoron se manwaaya gaya hooñ
Hafeez Jalandhari
1 likes
husn ne seekheen ghareeb-aazaarriyaan ishq ki majbooriyaan laachaariyaan bah gaya dil hasraton ke KHoon men le gaiin beemaar ko beemaariyaan soch kar gham deejie aisa na ho aap ko karne pade gham-khwaariyaan daar ke qadmon men bhi pahunchee na aql ishq hi ke sar raheen sardaariyaan ik taraf jins-e-wafa qeemat-tabl ik taraf main aur mirii naadaariyaan hote hote jaan doobhar ho gaii badhte badhte badh gaiin be-zaariyaan tum ne duniya hi badal daali mirii ab to rahne do ye duniya-daariyaan
Hafeez Jalandhari
0 likes
aane waale jaane waale har zamaane ke li.e aadmi mazdoor hai raahen banaane ke li.e zindagi firdaus-e-gum-gashta ko pa sakti nahin maut hi aati hai ye manzil dikhaane ke li.e meri peshaani pe ik sajda to hai likkha hua ye nahin maaloom hai kis aastaane ke li.e un ka w'ada aur mujhe us par yaqeen ai hum-nasheen ik bahaana hai tadapne tilmilaane ke li.e jab se pahra zabt ka hai aañsuon ki fasl par ho gaiin muhtaaj aañkhen daane daane ke li.e aakhiri ummeed waqt-e-naz'a un ki deed thii maut ko bhi mil gaya fiqra na aane ke li.e allah allah dost ko meri tabaahi par ye naaz soo-e-dushman dekhta hai daad paane ke li.e nemat-e-gham meraa hissa mujh ko de de ai KHuda jam'a rakh meri khushi saare zamaane ke li.e nuskha-e-hasti men ibarat ke siva kya tha hafiz surkhiyaan kuchh mil gaiin apne fasaane ke li.e
Hafeez Jalandhari
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hafeez Jalandhari.
Similar Moods
More moods that pair well with Hafeez Jalandhari's ghazal.







