muddat ke baad is ne likha mere naam khat meri shikayaton se bhara hai tamam khat ghabra na is qadar dil-e-betab sabr kar aata hai koi roz men ab subh-o-sham khat likkha hua hai khaas tumhare hi haath ka pahchanta hai khuub tumhara ghhulam khat tahrir un ki siina pe rakh dijiyo mire badle javab-e-nama ke aaega kaam khat likkha hai ab na likkhenge ham koi khat tujhe khat aaya meri maut ka laaya payam khat zaae' na jaegi tiri mehnat kisi tarah qasid ajura deta huun chutki men thaam khat ashiq-navaziyan hain tabiat men yaar ki likkha hai har mahine men bhejo mudam khat tahrir kar ke saikadon vaade mukar gae dikhlaunga huzur ko roz-e-qayam khat khat likh ke aaj daak pe pahunchenge yaar ko pahunchaega hamara payam-o-salam khat 'aghha' nisar hojiye inaam dijiye laaya hai un ka qasid-e-sarsar-khiram khat muddat ke baad is ne likha mere nam khat meri shikayaton se bhara hai tamam khat ghabra na is qadar dil-e-betab sabr kar aata hai koi roz mein ab subh-o-sham khat likkha hua hai khas tumhaare hi hath ka pahchanta hai khub tumhaara ghulam khat tahrir un ki sina pe rakh dijiyo mere badle jawab-e-nama ke aaega kaam khat likkha hai ab na likkhenge hum koi khat tujhe khat aaya meri maut ka laya payam khat zae' na jaegi teri mehnat kisi tarah qasid ajura deta hun chutki mein tham khat aashiq-nawaziyan hain tabiat mein yar ki likkha hai har mahine mein bhejo mudam khat tahrir kar ke saikadon wade mukar gae dikhlaunga huzur ko roz-e-qayam khat khat likh ke aaj dak pe pahunchenge yar ko pahunchaega hamara payam-o-salam khat 'agha' nisar hojiye inam dijiye laya hai un ka qasid-e-sarsar-khiram khat
Related Ghazal
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai
Jaun Elia
113 likes
bagair us..ko bataaye nibh aanaa padta hai ye ishq raaz hai isko chhup aanaa padta hai main apne zehan ki zid se bahut pareshaan hooñ tere khyaal ki chaukhat pe aanaa padta hai tere bagair hi achchhe the kya museebat hai ye kaisa pyaar hai har din jat aanaa padta hai
Mehshar Afridi
73 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Aagha Akbarabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Aagha Akbarabadi's ghazal.







